Saturday, November 1, 2008

Ghazal Shayari




IBTEDA-E-ISHQ ME HUM AAJ PEHEL KARTE HAI
NAAM PAR USKE HAR EK GHAZAL KARTE HAI
KHUD-B-KHUD AASAAN HO JAAYENGI SAARI MUSKILEIN
NAAM PAR USKE AGAR HUM AITBAAR KARTE HAIN
YEH JO PALKON MEIN CHUPA RAKHE HAIN WOH ANSOO NAHI
YEH WOH QATRE HAIN JO TUFAAN MEIN BASAR KARTE HAIN..
MULAKAAT HOGI,HAKIKAT NAHI,KHWAAB ME SAHI
YU AANKHO ME NAHI RAAT SE SEHER KARTE

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

HAADISAH JANEY WOH KYA THAA JO BHULAYA NA GAYA
AAJ TAK JISKA NISHAAN DIL SE MITAAYA NA GAYA
IN LAKEEROON MEIN BASA THA JO NASEEBON KI TARHA
GARDISH-E-DAURAAN KE SADQE, PHIR BANAAYA NA GAYA
SILSILAY AISE JUREY KHWABOON KE ANKHOON SE KE PHIR
PAS APNE IS ZAMAANAY KO BITHAYA NA GAYA
HASRATEY KASHTI-E-DIL DOOBI KINARAY PE MAGAR
SAAMNAY SAAHIL KE KUCH HUMSE BACHAAYA NA GAYA
AB KARAIN KIS SE SHIKAYAT AUR AB KIS SE GILA
GUFTAGU-E-RANJ MEIN JAB RANJ HI JATAAYA NA GAYA..!!!!!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

YAHI HAALAAT IBTADAA SE RAHE

LOG HAMASE KHAFA KHAFA SE RAHE

BEVAFA TUM KABHI NA THE LEKIN

YE BHI SACH HAI KI BEWAFA SE RAHE

IN CHIRAGHON MEN TEL HI KAM THA

KYON GILA PHIR HAMEN HAWA SE RAHE

BAHAS, SHATRANJ SHER MAUSIQI

TUM NAHIN RAHE TO YE DILAASE RAHE

ZINDAGI KI SHARAAB MAANGATE HO
HAM KO DEKHO KI PI KE PYAASE RAHE


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

AANKHON MAIN AANSOO A JAATE HAIN,
PHIR BHI LABON PE HASI LAANI PADTI HAI,
YEH MOHBBAT BHI KYA CHEEZ HAI YAARON,
JIS SE KARTE HAIN, USSI SE CHUPPANI PADTI HAI.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

HAR DARD KO AE JAAN MAIN SEENE MEIN CHHUPA LOON

KAANTE TERI RAAHON KE MAIN PALKON PE SAJA LOON

BICHHDI HAI MERI NEEND BHI BICHHDA HAI TU JAB SE

JEE CHAHE TUJHE ROZ HI KHWABON MEIN BULA LOON

TU PAAS NA AA, HAAN ZARA DAAMAN TO BADHA DE

ASHKON KO KAHAAN TAK MAIN IN AANKHON MEIN SAMBHAALOON

YE ISHQ KA ILZAAM BHI ILZAAM HAI KOI

TERE LIYE DUNIYAA KE SAB ILZAAM UTHA LOON

LE JAAYE KAHAAN JAANE HUMEIN WAQT KA DARIYA
IS DIL PE LAGE ZAKHAM ZARA AAJ DIKHA LOON


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

BANAA GULAAB TO KAANTE CHUBHAA GAYAA IK SHAKHS

HUAA CHIRAAG TO GHAR HII JALAA GAYAA IK SHAKHS

TAMAAM RANG MERE AUR SAARE KHVAAB MERE

FASAANAA KAH KE FASAANAA BANAA GAYAA IK SHAKHS

MAI.N KIS HAVAA ME.N U.DUU.N KIS FAZAA ME.N LAHARAA_UU.N

DUKHO.N KE JAAL HAR-SUU BICHHAA GAYAA IK SHAKHS

PALAT SAKUU.N MAI.N NA AAGE BA.DH SAKUU.N JIS PAR

MUJHE YE KAUN SE RAASTE LAGAA GAYAA IK SHAKHS

MUHABBATE.N BHII AJIIB US KII NAFARATE.N BHII KAMAAL

MERII TARAH KAA HII MUJH ME.N SAMAA GAYAA IK SHAKHS

VO MAHATAAB THAA MARHAM-BA-DAST AAYAA THAA

MAGAR KUCHH AUR SIVAA DIL DUKHAA GAYAA IK SHAKHS

KHULAA YE RAAZ KE AA_IINAA-KHAANAA HAI DUNIYAA
AUR IS ME.N MUJH KO TAMAASHAA BANAA GAYAA IK SHAKHS


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

SAR JHUKAAOGE TOW PATTHAR DEVATAA HO JAAYEGAA

ITNAA MAT CHAAHO USAY WO BE-WAFAA HO JAAYEGAA

HAM BHII DARIYAA HAIN HAME.N APANAA HUNAR MAALUUM HAI

JIS TARAF BHII CHAL PA.DE.NGE RAASTAA HO JAAYEGAA

KITANII SACHCHAA_II SE MUJHASE ZI.NDAGII NE KAH DIYAA

TUU NAHII.N MERAA TO KO_II DUUSARAA HO JAAYEGAA

MAIN KHUDAA KAA NAAM LE KAR PII RAHAA HUU.N DOSTO.N

ZAHAR BHII IS ME AGAR HOGAA DAVAA HO JAAYEGAA

RUUTH JAANAA TO MOHABBAT KII ALAAMAT HAI MAGAR
KYAA KHABAR THII MUJH SE WO ITANAA KHAFAA HO JAAYEGAA


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

IS JAHAN KO DEKHTA RAHOON YA TUJH KO DEKHTA RAHOON

TU MERE SAMNE BETHI RAHI TUJH KO DEKHTA RAHOON

KAASH GHUNGHAT ZAMANE KA HAT JAYE

AUR MAI HASEEN AANKHON KO TERI DEKHTA RAHOON

JAB AA JAYEIN MEHFIL MAI SHAMA-E-JANAAN BAN KER

TO MAI IS JAHAN KO CHOR KER USKO DEKHTA RAHOON

KAASH MOHABBAT MAI AISA MAQAAM AAYE 'MOHSIN'
WO B MUJHE DEKHTI RAHE, MAI USE DEKHTA RAHOON


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

RANJISH HI SAHI DIL HI DUKHANE K LIYE AA

AA PHIR SE MUJHE CHOR K JANE K LIYE AA

KUCH TO MERE PINDARE MUHABAT KA BHARM RAKH

TO BHI TO KABHI MUJH KO MANANE K LIYE AA

PEHLE SE MIRASIM NA SAHI PHIR BHI KABHI TO

RASAM O RAH DUNIA HI NIBHANE K LIYE AA

KIS KIS KO BATAYAN GE JUDAI KA SABAB HUM

TO MUJH SE KHAFA HA TO ZAMANE K LIYE AA

AIK UMAR SE HO LAZAT-E-GIRYA SE MAHROOM

AY RAHAT JAN MUJH KO ROLANE K LIYE AA

AB TAK DIL KHOSH FAHAM KO TUJH SE HAIN UMIDAIN

YE AAKHARI SHAMA B BHOJANE K LIYE AA...!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


WOH SAREY KHAT JALA DO

WOH SARI BAATEN BHULA DO

WOH ANDEKHEY ANJANE SAPNEY

DIL KEY KISI KONEY MEIN CHUPA DO

JIS NEY HAMEIN MAYUS KIYA

WOH SARI UMEIDEIN MITA DOO

RAAT ABHI BUHAT BAQI HAI

RAAT KE ANDHERE KO MITA DOO

KOI ROTA HOGA AB BHI TANHA

USEY JA KEY YEH BAAT BHI BATLA DO

SOCHA THA TUMHEIN KABHI APNA BANANEY KA

WOH SARE SAPNE KO AB DUWAAN DO

AAJ RAAT BUHAT ZORON KI BARSAAT HAI

AANKHON KEY RASTEY AANSON KO BAHA DO

SAAT DEKHEY THE JO SAPNEY SAB CHUR HUYE.
TUM KABHI YAD NA AAO MUJHE BAS ITNI SI DUA DO


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


JANEY KYUN SHIKAST KA AZAAB LIYE PHIRTA HOON,,,

MAIN KYA HOON AUR KYA KHUWAB LIYE PHIRTA HOON,

US NE AIK BAR KIYA THA SAWAL-E-MOHABBAT,,,

MAIN HAR LAMHA WAFA KA JAWAB LIYE PHIRTA HOON,

US NE POCHA K KAB SE NAHE SOYE,,,

MAIN TAB SE RAT JAGON KA HISAB LIYE PHIRTA HOON,

US KI KHUWAISH THI K MERI ANKHON MAIN PANI DAIKHE,,,

MAIN US WAQT S AANSUON KA SAILAAB LIYE PHIRTA HOON,

AFSOS K WO PHIR BHI MERA NA HUWA,,,

MAIN JIS KI AARZU KI KITAAB LIYE PHIRTA HOON........


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


HUMARI ZAAT SE BICHHRRA HUA NAHIN MILTA

WOH AIK BAAR JO TANHA HUA NAHIN MILTA

SAMUNDARON MEIN JO DOOBAIN WOH MIL HI JATAY HAIN

TUMHARI AANKHON MEIN JO DOOBA HUA NAHIN MILTA

HUMARAY SATH MUSALSIL SAFAR MEIN REHTA HAI

HAWA KA QAAFILA THEHRA HUA NAHIN MILTA

KABHI WOH DIN THAY K REHTA THA SATH SATH WOH SHAKHS

AUR AB YEH WAQT K ARSA HUA NAHIN MILTA

DUA KO HATH UTHAAYEIN TAU KIS LIYE NITIN?
KABHI BHI HUM KO TAU MAANGA HUA NAHIN MILTA....!!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


HAR SHAAAM US SEY MILNEY KI AADAT SE HO GAEE

PHIR RAFTA RAFTA US SEY MOHABBAT SE HO GAEE

SHAYAD YEH TAZA TAZA JUDAI KA ASSAR THA

HAR SHIKAL YAK BA YAK US KI SURAT SE HO GAI

EK NAAM JHILMILANEY LAGA DIL K TAAK PER

EK YAAD JAISEY US SEY RAAHAT SE HOGAI

KHUD KO SAJA SANWAR K RAKHNEY KA SHOOQ THA

AB APNEY AAP SEY MUJHAY WAHSHAT SE HO GAI

MAINE KOI BIYAN-E-SAFAI NAHI DIA...
BAS CHUP RAHA TO KHUD HI WAZAHAT HO GAI...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


MEHFIL MEIN TERI SITARON KI ROSHANI BAHUT HAY

ISLIYE ALWIDA TERI MEHFIL KO KAR HUM CHALEY

JANEY DIL KE KISEY KONEY MEIN AANDHERA BAHUT HAY

DIL KO ROSHAN KHUDA KI IBAADDAT SE KARNE HUM CHALEY

KHUDA KO PANEY KI CHAAH ISS DIL MEIN BAHUT HAY

DO HATHON SE DUA MANGNEY HUM CHALEY

TERI AANKHON MEIN BASEY MOTIYON KI CHAMAK BAHUT HAY

KHUDA SE APNE MOTIYON KA HISAB MANGNEY HUM CHALEY

PATHAR NA KEHNA JIS DIL MEIN ARMAAN BAHUT HAY

PATHARON SE EK JHARNEY KA RUKH MODNE HUM CHALEY

PHUUL NA KEHNA JIS PHUUL MEIN KANTEY BAHUT HAY

PHUULON KO KATON SE SAJAANE HUM CHALEY

CHAAND KE NUUR MEIN CHANDNI BAHUT HAY

HUM EK TAREY MEIN APNI YAAD BASA KAR CHALEY

KARVAAN ZINDAGI KA YUUN HI BADHTA JAYEGA
HUM AASMAAN TERE HATHON MEIN SAUNP KAR CHALEY...!!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

CHANND IK ACHEY SHAIROON KI BHI KI HIA KAMAAI HUM NEY BOHAT

KEISEY KEISEY DHUNN KAY PAKEY SAMNEY OUN KAY DHAIR HUWE

AEISI QATAL AANKHOON SAY BHI AANKH MILAAI HUM NEY BOHAT

SAB KO APNA SAB KO MEJSIN KEHNEY KI ADAT THEAK NEHI

AEISI CHAHAT SAB SAY KAR KAY CHOOT HE KHAII HUM NEY BOHAT

JAAG KO ROSHAAN KARNEY KI KHUWAHISH MEIN JO MISAHAAL JALTTI REHI

OUS ASY JALTEY SHEHROON MEIN PHIR AAG LAGAI HUM NEY BOHAT

BAAT ASOOLON KI THI APNI DEKLHA HAI DUNIA NEY BHI FAREED

CHUP REH KAR BE INSAAFI SAY KI HAI LARAAI HUM NEY BOHAT


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

RAAT BHI SARI JAGTEY HUIE GUZRI,

SHAB E GHAM MIEN SHAMA JALATEY HUIE GUZRI,

APNI NAKAMIYOUN PE AFSOUS KARTE HUIE,

AANKHOU SE ASHK BAHATEY HUIE GUZRI,

GHAMOU SE BHAREY ISS TOOTEY HUIE DIL KO,

DUKHOU SE APNEY BHELATEY HUIE GUZRI,

JO CHORD GAYA TANHA SAFAR MIEN MUJHKO,

USI EK BEWAFA KO BHULATEY HUIE GUZRI,

WO NA AAIEGA PHIR LAUT K YAHAN,

YEHI BAAT DILKO SAMJHATEY HUIE GUZRI,

HAR LAMHA QAYAMAT KI MANAND TEHRA,

HAR GHARI MANN KO TARPATEY HUIE GUZRI,

KHIZA K ISS PHAILEY HUIE MAUSAM MIEN,

SABA BHI APNI NAZRIEN CHURATEY HUIE GUZRI,

ANDHERO NEY APNI DASTAAN SUNAIE MUJHKO,

ROSHNI BHI APNI KAHANI SUNATEY HUIE GUZRI,

KUCH YADOU NEY NEENDIEN NA ANEY DI,

KUCH RAAT JAGOU KI BAARISH MIEN NAHATEY HUIE GUZRI,

KAB KA BHULA DIYA TAH MAINEY JISEY,

KAL HAWA BHI AUS K GEET GUNGUNATEY HUEI GUZRI,

KHUABOU K SAHIL PE TERE NAAM KO ,

KABHI LIKHTE TOU KABHI MITATEY HUIE GUZRI,

NAFRAT AUR PYAAR KI KASHMAKASH MIEN YE ZINDAGI,

KUCH ROTEY GUZRI TOU KUCH MUSKURATEY GUZRI......



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

*RAHUL*

Thursday, October 23, 2008

Dard Dil Kaa....




ISHQ VAHI JO EK TARFA HO,

IZHARE ISHQ TO KHWAISH BAN JATI HAI,

HAI AGAR ISHQ TO USE ANKHON ME DIKHAO,

JUBAN KHOLNE SE YE NUMAAISH BAN JATI HAI.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

SUNA THA ROOH KI KOI CHAHAT NAHI HOTI

SAB KAR LIYE JATAN UNKI INAAYAT NAH HOTI

AB KAUN JAAKE SAMJHAYEGA UNHE

KI DIL TOOTANE KI AAHAT NAHI HOTI

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

AB IS DIL MEIN KOI SAAZ NAHIN HOTA

MOHABBAT KA IS DIL MEIN AAGAAZ NAHIN HOTA

UNKI EK AAH PAR BHI HUMEIN HOTI HAI TAKLEEF

AUR HAMARA DIL TOOT JAANE PAR BHI UNHEIN AITRAAZ NAHIN HOTA

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

HUM TAMAM KOSHISO KE BAWJOOD HAR GAYE ,

WOH USSE MIL GAYA JISNE USSE MANGA HI NAHIN

HAR EK SE POOCHA USKE NA MILNE KA SABAB ,

SAB NE KAHA WOH TERE LIYE BANA HI NAHIN

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

AAJ FIR USI DO RAHE PAR KHADA HAI "RAHUL",

JAHAN SE MUSHKILO KI SHURUAAT HONI HAI,

UN TAMAAM KHUSHIYON KI BAS SIRF

AB KHWAABON ME HI MULAAKAAT HONI HAI,

KUCHH BHULE BISARE DIN, YAARO KA SAATH,

UNKE HATHO SE CHHIN KE KHAANA,

ZINDAGI KI UN KHUSHIYO BHARI YADON KI

SHAAYAD HI KABHI BARSAAT HONI HAI,

DIL SE RONA, AUR AANKHON KO DHOKA DENA,

AB TO HAR RAAH GUMRAAH HONI HAI,

AB TO APNI ZINDAGI AUR WAQT NEELAAM HOGA,

SHAYAD ROTI BHI KHAIRAAT HONI HAI,

APNI EK NAYI PEHCHAAN BANAANE KE LIYE,

PURAANI KAYEE PEHCHAAN KHONI HAI,

AAJ FIR USI DO RAHE PAR KHAD HAI "RAHUL",

JAHAN SE MUSHKILO KI SHURUAAT HONI HAI,

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

MUJHE TUM NAZARON SE GIRA TOH RAHE HO,

MUJHE TUM KABHI BHI BHULA NA SAKOGE

MERI YAAD HOGI JIDHAR JAOGE TUM

KABHI NAGMA BAN KE KABHI BAN KE ANSU

TADAPTA MUJHE HAR TARAF PAOGE TUM

KABHI NAM BAATON ME JO AAYA MERA

TO BECHAIN HO HO KE DIL THAM LOGE

NIGAHON ME CHAEGA GUM KA ANDHERA

KISI NE JO PUCHA SABAB AANSUON KA

BATA NA BHI CHAO BATA NA SAKOGE

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

GHAMO MEIN BHI MUSKURANA CHAHTA HUN MAIN

TUMHE BHULAKE EK NAYI DUNIYA BASANA CHAHTA HUN MAIN

MAGAR NA JAANE KYUN NIKAL AATE HAIN ANSOON

JAB BHI TUMHE BHULANA CHAHTA HUN MAIN....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

SAARE SAPNE KAHIN KHO GAYE..

HAAYE HUM KYA SE KYA HO GAYE..

DIL SE TANHAAI KA DARD JEETA

KYA KAHEIN HUM PE KYA KYA NA BEETA..

TUM NA AAYE, MAGAR JO GAYE..

HAAYE HUM KYA SE KYA HO GAYE..

TUMNE HUMSE KAHIN THI JO BAATEIN..

UNKO DOHRAATI HAIN GAM KI RAATEIN..

TUMSE MILNE KE DIN TO GAYE..

HAAYE HUM KYA SE KYA HO GAYE..

KOI SHIKVA NA KOI GILA HAI..

TUMSE KAB HUMKO YEH GAM MILA HAI...

HAAN NASEEB APNE HI SO GAYE..

HAAYE HUM KYA SE KYA HO GAYE..

SAARE SAPNE KAHIN KHO GAYE..

HAAYE HUM KYA SE KYA HO GAYE......

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

JAB PYAR KE EHSHAS KO SAMAJH JAOGI,

HAR SANSO ME MERA HI NAAM PAOGI,

MERA PYAR USSWAQT DEGA AAWAZ,

JAB TUM DUNIYA KI BHID ME KHUD KO AKELA PAOGI.....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

KE TUJH SE JUDA HOKAR BHI

JEENEY KI AADAT HOGAYEE

TUM LAUT KE AAOGEY HUMSE MILNE

ROZ DIL KO BEHLANE KI AADAT HOGAYE

TERE WAADE PE KIYA BHAROSA HUMNEY

SHAB-BHAR TERA INTEZAAR KARNE KI AADAT HOGAYE

KHUSHI MAIN BHI HUM KYA MUSKARATE KE

TERI JUDAAI MEY RONE KI AADAT HOGAYEE

KAAFILE NIKAL GAYE HUMEY CHOD KE

AB TO TANHA SAFAR KI AADAT HOGAYE,

HAR MOD-PAR MILI GHUM KI PARCHHAIYAAN

ZINDAGI SE SAMJHAUTA KARNEY KI AADAT HOGAYEE........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

LIKHU KUCHH AAJ YE WAQT KA TAKAZA HAI,

MERE DIL KA DARD ABHI TAZA HAI,

GIR PADTE HAI AANSU MERE KAGAZ PAR,

LAGTA HAI KALAM ME SYAHI KAM OR YAADEIN JYADA HAIN...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

AANSU KE CHAND BOONDON SE WO RISHTAA HUMARA TOD GAYE

TANHA CHHOD KE HUMEIN GUMON KO HUMARA KEH GAYE

UNKI YE ANOKHI AADA KYA THI HUM AB TAK NA SAMAJHE

AUR DARDON KE BAARISH MEIN HUM THE KI AKELE REH GAYE....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

NA KUCH ADHURA CHOD JAUNGA,

NA KIYE HUVE VADE TOD JAUNGA,

SAB KARUNGA PURE ARMAN MERE YARO KE,

SHISHA HU DOSTO, TUTKE BHI APNI KHANAK CHOD JAUNGA.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

KAROGE FIE YAAD GUJRE ZAMANE KO,

TARSOGE HUMARE SATH EK PAL BITANE KO,

FIR AWAZ DOGE HUME ANEKO,

HUM KAHENGE DARWAZA NAHI HAI KABAR SE BAHAR ANE KO.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

HUM KISI KI MOHABBAT KA JAWAB KYA DE,

KHAMOSH LABO KO AWAZ KYA DE,

KHUD MIT CHUKE HAI KISI KI MOHABBAT ME,

KISI KO PYAR KI SAUGAT KYA DE.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

BADA ARMAAN THA USKE SAATH JEEWAN BITANE KA,,,,,

SHIKWA HAI BAS USKE KHAMOSH REH JAANE KA,,,,,

DEWAANGI IS SE BADHKAR KYA HOGI,,,,,

AAJ BHI INTZAAR HAI USKE MAAN JAANE KA

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

JANA KAHA THA AUR KAHA AA GAYE,

DUNIYA ME BANKAR EK MEHMAN AA GAYE,

ABHI TO JINDAGI KI KITAB PADHI BHI NAHI,

AUR NA JANE KITNE IMTIHAN AA GAYE.

Thursday, October 16, 2008

Romantic and Sad


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Hasrat hai,koi hume pyar se dekhay...
Armaan hai, koi phool hume dil se pukare...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Wafa ruswa nahi karna
Suno! Aisa nahi karna
Main pehlay hi akela hon
Mujhe tanha nahi karna
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Dil ka rishta hai hamara
Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad main hai chehra tumhara
Hum saath nahi to kya hua
Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
Dil Mange Tera Saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni Kismat Se
Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

Rooh Mitti Nahi Par, Janta Hun Shareer Nashvar Hai
Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loonga
Ye Dua Bud-Dua si Lagti Hai

Naam Jis ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai

Woh Abhi Is Taraf Se Guzri Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shayad
Aaj DUNiYA khafa Si Lagti Hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

meri tanhaai'o kaa zikr mehfil me naa kar sanam
yun bahaaro ko khizzaa'o me badla nahi karte

ashq teri aankho'n me khushi se jo ubhar aaye hai
yun ek qatre ki baarish me khud ko bhigoya nahi karte

meri justzu me the to sukoon haasil naa hua tumhe
jo bikhre hai to meri yaad se khud ko sameta nahi karte

saazishe tere hamnavaa'o ki me khub jaanta hoon
yun sar-e-aam mehfilo me khajar sajaya nahi karte

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi
Meri Saans Bikherne Wali Hogi
Phir Daman Zindagi Ka Choote Ga
Dhaaga Saans Ka Bhi Toote Ga
Phir Wapis Hum Na Aayenge
Phir Hum se Koi na Roothe Ga
Phir Aankho'n main Noor Na Hoga
Phir Dil Gham Se Choor Na Hoga
Us Pal Tum Hum Ko Thaamo Ge
Hum Se Dost Apna Maango Ge
Phir Hum Na Kuch Bhi Bolen Ge
Aankhain'n Bhi Na Kholen Ge
Us Pal Tum Ro Do Ge
Hum Ko Tum Kho Do Ge

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

WO LAMHE BHI AJEEB HOTE HAI
JAB SAB DOST KAREEB HOTE HAI
KISI KO NAFRATH MILI
KISI KO PYAAR YAHAN
HAR KISI KE APNE APNE NASEEB HOTE HAIN

YUN HI KISI KI YAADON MEIN RONA FIZUL HAI
ITNE ANMOL AANSU KHONA FIZOOL HAI
RONA TOH UNKE LIYE JO HUMPAR NISAR HAI
UNKE LIYE KYA RONA JIN KE AASHIQ HAZAAR HAIN


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

JAAGTE HAI TANHA RAATON MEIN
KHOTA HAI DIL UNKI BAATON MEIN
MILI NAHI DIL KI MANZIL AAJ TAK
KYUN KI DARD HI DARD LIKHA HAI IN HAATHON MEIN


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

KUCH BEETEY HUAY LAMHON SE MULAKAT HUYI
KUCH TOOTAY HUAY SAPNO SE BAAT HUYI
YAAD JO KARNE BAITHE UN TAMAAM YAADON KO
TOH AAPKI YAADON SE SHURUVAT HUYI


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

SAPNO ME KIYA GAYA SAFAR HAM DURI MAAN CHUKE
PAIDA KI GAYI ZAROORATH HAM MAJBURI MAANCHUKE

YE DUNIYA TERI YAADON SE BHARI HAI TO KYA HUA
ANKHE BANDH KAR KE TERI GALI KO ANDHERI MAAN CHUKE

DHADKAN AUR SAANS KA CHALA GAYA EHSAAS
AB TO APNE AAP KI BAAT BHI ADHURI MAAN CHUKE

HAKEEKAT KYA HAI KOYI HAME NA SAMJHANA
HAM DUNIYA KI BAATON KO LORI MAAN CHUKE


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta Hoon Ke khuda Kare
Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Me Kabhi Mila Nahi


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Aaja Andheri Raate
Tanha Bita Chuka Hoon
Shama Jaha Na Jalti
Ankhen Jala Chuka Hoon
Tum Aaoge Kisi Din
Isi Intizaar Me
Najane Kitni Hasrate
Mita Chuka Hoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Chand Aahein
Yeh Chand Aansoo
Siwa-e-Inke Bacha Hi Kya Hai
Zamana Kya Chheen Lega Humse
Kisine Humko Diya Hi Kya Hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-e-Israr Nazar Aate Hai
Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To Bezaar Nazar Aate Hai
Mere Daman Me Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai
Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-e-Bazaar Nazar Aate Hai
Main Darta Hoon Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Kya kaat liye chaar din pardes me
ab wo hume apna purana aashiq bhi samajhte nahi
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai
wo aise guzarte hai jaise jaante nahi
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai duniya ka
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~

JAKHM RUH PAR DEKAR MERE,
VO MARHAM JISM PAR LAGANE KO KEHTE HAI,
OR VO JO THE KAATIL MERE,
MUJHE INSAAF DILAANE KO KEHTE HAI,
KRTA BHI TOH KAISE YAKI,
MAIN USKI BAATON PAR YAARON,
VO JO TOAD DETI HAE HAR VAADA,
JO VO NIBHAANE KO KEHTI HAI,
TAB KAHI JAAKE SAAF HUE NAZROAN ME SHAKSIYAT USKI,
JAB VO MUJHE MERA ISHQ BHUL JAANE KO KEHTI HAI


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi

Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi

Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi

The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi

Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Rahul






Tuesday, September 30, 2008

Romantic Shayari



Aa gayi mein bin sochay samjhay,
jaanay kis mehfil mein ae sanam,
teri talash dar badar bhataka rahi,
teray liye mein bani jogan ae sanam.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kuchh doori kuchh majboori,
mai iss paar, too uss paar,
fir uspar hai too khafa khafa,
mai minnat karti hoon baar baar,
bahut ho gaya intzaar,
ab to banho me lele yaar....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dil Aayna hain hamara
jismein chehra hain sirf tumhara
doosron ko soch na paayenge
dekhne se pehle toot jaayenge

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khwaabon mein saj gayi ho tum
yaadon mein simat gayi ho tum
so bhi jaaooon agar tho kya kahoon
aankhon mein buss gayi ho tum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek mudat lagi mujhay unko ye baat smjhany me
chupaalo apni ankhoon me warna marjayenge veerany me

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

aapki mohabbat ka ehsaas abhi tak baki hai,
in aankho me tere deed ki pyaas abhi tak baki hai,
yun to meri maut me kasar nahi koi baki,
par tere aane ki ummeed me kuchh saans abhi tak baki hai.........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

hal-e-dil hamara unhone suna nahi,
na mila pyaar hamko koi gila nahi,
afsos jo dil k hamare gam baant leta,
esa sathee bhi to hamko koi mila nahi...........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

dil ki tadap ko kese lafjo me baya karoon,
teri yaad ko kese apne dil se juda karoon,
dil hi dil me tujhko apna bana liya mene,
tujh bin guzara kese mai mere meherba karoon...............

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Phir wahi purani tanhai fir vahi udaasi ka aalam,
agar wo aa jate to kuch dard hamara hota kam,
par jab sabhi ghamo me doobe hain,
to fir kon mitaye kiska gham.........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kitna samjhaya dil ko ki tu pyaar nakar,
kisi ke liye khud ko bekarar na kar ,
wo tere nahi hain are nadan are pagal,
kisi aur ki amanat kainatzaar na kar,
par kambakht manta nahi teri yaad jeeta hai,
meri baat tu chahe aitbaar kar na kar........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dekha unki aankhon mein ajeeb si kasak thi
Dil humara madhosh hua jisse aisi wo mehak thi
Keh na paaye hum unsse apne dil ki halaat
Ki wo humare jismo-jaan se rooh talak thi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

jungle me rheta hu kato
kato pe sota hu
jab teri yaad ati hai
to ji bhar ke rota hu

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Har khusi main apki baat karte,
Apki salamti ki fariyaad karte,
Is khamosh phone ko kaise bataye,
Ke hum apko hi kitna yaad karte.....................

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bhool jaaun unhen ab yeh mumkin nahin
chaahe woh bhool jaye mujhe koi baat nahin...

dil men se unhen nikalna mumkin nahin
chaahe woh mujhe dil se nikaal de koi baat nahin...

yaadon men se pal bhar ke liye nikaal pati nahin
chahe woh mujhe yaad na kare kabhi koi baat nahin...

Nahi samjha sakungi kabhi unhen dil ka haal main
chahe woh samajh ke na samajh bane koi baat nahin..

dil se chaaha unhen aur chaahti hi rahungi
chahe unke liye meri chaahat ki koi keemat nahin...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Hum Bhi Gawara Karte Hain
Yeh Tum Bhi Gawara Kar Lena
Ro Ro Ke Guzari Hai Humne
Tum Hans ke Guzara Kar Lena
Betabi Had Se Badh Jaye
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko
To Doob Ke Meri Yadoon Mein
Duniya Se Kinara Kar Lena
Jis Waqt Janaza Guzrega
Is Shaks Ka Tere Kooche Se
Jazbaat Pe Kaboo Kar Lena
Khirki Se Nazara Kar Lena

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

mein chahun bhi toh mita nahi sakta

sochun toh bhi bhula nahi sakta

jo beet gaye sang tere lamhat-e-zindagi

woh haseen ek ek pal bhula nahin sakta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Main ab khayalon me teri tasveer banaun magar kaise,
Tu hi bata, haal-e-dil tujhe sunaun magar kaise...

Jo mahal banaye the khwabon me humne,
In mahalon me wafa ke deep jalaun magar kaise...

Mohabbat, wafa, chahat sab toot chuke hain,
Ab main khud ko kisi khilone se behlaun magar kaise...

Apne aas paas jo tanhayion ke mele dekhe to khayal aaya,
Tumhari tarah main bhi bewafa banjaun magar kaise...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

In aati jati baharo ne dekha hai, hamne ek khavab sunehra dekha hai
Pal pal karte hai intzar, humne aapko hamare khawabo me dekha hai

Jate huye aapke kadmo ko hum rok na shake,
Humne khud ko aapke pichhe jate hue dekha hai

Socha kiye jab bhi tanhaye me aapke bare me,
Har pal aapko humare aas pas dekha hai

Sham ki ghataye chhati hai kai rang lekar,
In hawao me humne aapka ahsas dekha hai

Alag nahi humari jaan aur jindagi ab,
Humne har pal me shamil aapko dekha hai

Duriya bhale ho humare bichme kitni hi,
Aankhe bandh karke sabse karib aapko dekha hai

Dil ki dhadkano me bas gaye ho iskadar ki,
Najarme to ho, par har nazaro me bhi aapko dekha hai

Heran hote hai ye jankar, ki log hum me aapko dekhate hai
Khushnasib samjate hai khudko, ki khuda me bhi aapko bar bar dekha hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kya kahun mujhe wo kitna pyara hai
jaise chamakta chanda asman par jaise jilmilata taara hai
mujhe wo itna pyar hai
nidhal kar dein jab samandar ki lehren
lage mujh ko wo kinara hai
muje wo itna pyara hai
toot jati hai har ek aas
to wohi lagta akhri sahara hai
mujhe wo itna pyara hai
jab b laye koi gham meri ankh mei ansu
phir mere liye ek wohi khushi ka sahara hai
wo mujhe itna pyara hai
sari kainat se b pyar hai
apni jaan se ziyada pyara hai..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek Pal Me Ek Sadi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Bhule Hain Rafta Raft Unhe Muddaton Me Hum,
Kishton me Khud Khushi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Aagaz-E-Ashiqui Ka Mazaa Aap Jaaniye,
Anjam-E-Ashiqui Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Hasne Ka Shauq Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Woh Jaan Hi Gaye Ki Humein UnSe Pyaar Hai,
Phir bhi Aankho me pyar chupane Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Toote Hue Khwabon Mein Haqiqat Dhundhta Hoon,
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundhta Hoon ...

Naadan Hoon Main, Ab Tak Yeh Bhi Nahin Samjha,
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundhta Hoon...

Mere Zajbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin,
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundhta Hoon...

Is Ajnabi Duniya Mein Koi Bhi Apna Nahin,
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundhta Hoon...

Umeed Ki Thi Pyar Ki, Bas Yehi Bhool Thi Meri,
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundhta Hoon...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

mujhe chaha hai tune is shiddat se
meri har khwaish ka khayal rakha
mujhe sar ankhau pe bithakar
meri har khushiyau ko sambhal rakha

mere dil ko apne dil se jod kar
mujhe apne dil ke qareeb rakha
mujhe apni agosh me chupa kar
mujhe khud se zyada azeez rakha


teri is wafa ka shukriya
teri har chah ka shukriya
tere pyar ke is ehsaas ka
aur is khubsurat saath ka shukriya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


charon taraf nasha hi nasha hai
lagta hai har taraf tu hi tu khada hai
muhabbat me teri hum khogaye hai
dur najane tum se hum kyu ho gaye hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

tum zindagi ki zaroorat ho meri
aabroo ho meri aur izzat ho meri

khubsurati teri you jhalakne lagi hai
tumhare liye jaa tadapne lagi hai

aarzoo ho meri tum tamanna ho meri
sada sang raho tum ye khwahish hai meri

muhabbat ko meri tum abad rakhna
meri jaa mujhe tum sadaa yaad rakhna

ye duri samajh lo hai chand lamhe
muskura ke ise ek sapna samajhna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

jaa mere e dil bahut udaas hai
pani qareeb hai, phir bhi ajab si pyaas hai
bahut baar mil chuki, phir bhi tujh se milne ki aas hai
tum kehte ho meri shayari bakwas hai
kehta hai mujhe paagal wo jo mera khaas hai
aansu mere behte hai kyuo ke dil mera hussas hai
samajh na pawoge mujh ko e mera ehsaas hai
jaa mere e dil bahut udaas hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Subah Adhkhuli palkon ko,
Bistar ki unginat salwaton ko
Soney ke kitney hi bahano ko,
Tumko talashti un nazron ko....

Kabhi Dekho na...

Dhule bheege baalon ko,
Mehendi se sajay haathon ko
Kaajal se bharey un nainon ko
Surkh resham un hothon ko..

Kabhi Dekho na...

Boltee khamoshiyon ko,
Goonjtee sargoshiyon ko
Adhuri muskurahaton ko,
Bhar aayi un aankhon ko...

Kabhi Dekho na...

Un pighaltee raaton ko,
Anginat Talluqaaton ko
Kitnee Hayazaat nazron ko
Un Bebaaq afsaanon ko...

Kabhi Dekho na...

Jaaney kitney..Khwabon ko
Dhadaktee huyi aahon ko
Tum par mit'tee saason ko
Andekhi par munasib manzilon ko...

Kabhi Dekho na...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na Salam Yaad Rakhna,
Na Payam Yaad Rakhna,
Magar Ae Haseen Logon
Mera Naam (Rahul) Yaad Rakhna.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shohrat ka nahi saudai shaayar
Daulat bhi nahi iska nishaanaa
Bus bhatkay hai dil dil ki mehfil
k mil jayay koi chehra-e-daanaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Umr apni tehzeeb ko day jaataa hai shaayar
JazboN ko neeNd say jagaa laataa hai shaayar

Safar-e-shayar kaho ya naam laylo tanhai ka
k itna dushwaar hai jeena laal-e-khudai ka

Afkaar iskay aadmi kay bhoolay huay ahsaas
JunooN iska mehw-e-neeNd main say jaagoN ki talaash

Nahi pehchaany parwaazaiN iski daur-e-zamaanaa iska
Dariya-e-haazir main hai shayar ik safinaa-e-fardaa

Tasleem-e-shaayar hai gar aadmiyat ko pa jay aadmi
Muaaf gunaah sub hoNgay gar muhabbat ko pa jay aadmi.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

log karte hai baat hoor wa pariyon ki,
dil mein bhi ek aarzoo jaagti thi,
jab se jaana hai aap ko,
lagta hai har tamanna poori hogayi!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mohabbaton me zarasi kasak zaroori hai.....
Shikayaton ke gulon ki mahek zarooree hai...
Koi sawal karoon main tumse to naaraz mat hona..
Kyon ki sachche pyar me thoda sa shak zarooree hai..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Muddat se door the hum...
Aap miley..
Aap ka milna achcha laga...
Sagar se gehree lagee aapki mohabbat...
Tairna to aata tha...
Par doobna achcha laga...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


badla zamana badle hain log to kya hua
phi se vahi sama vahi mahfil jamao yaaro
kon kahta hai ki aasma main ched nahi ho sakta
ek patthar to tabhiyat se ucchaalo yaaro

kahin dhoop kahin khaiv hai to kya hua
her jagah apni pahchaan rutba banao yaaro
her haar ke baad hai ek suhaani jeet
apni her ek haar ko uski jeet se melao yaaro

bhoolo na apni zami apne log apne watan ko
jo hai apna vo sab na kabhi bhulao yaaro
maa ,bhai, dost yaar aur pyaar anmol hain sab
sabke liye dil main ek ek jagah banao yaaro

namumkin hai kuch too vo hai namumkin soch
us soch ko dil-o-dimag se hatao yaaro
ye apni zami apna jahain apne log hain yahin
sab hai apna apne haatho se isse sajao yaaro

andheri raatoin main tu chamkega sitara banke
uss kal ke liye aaj khud ko tarasoo yaaro
kon kahta hai ki aasma main ched nahi ho sakta
ek patthar to tabhiyat se ucchaalo yaaro


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
Nigaah ko kisi soorat ki pyaas rehti hai
Tere bina zindagi mein kami toh nahi
Phir bhi tere bina zindagi udaas rehti hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
Tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
Aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
Inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye..
Aag aise lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain hum unhe yaad karke...
Jise hamari yaad kabhi na aaye...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Duao ki bheed mein ek dua hamari
Jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
Jab bhi aap muskuraaye dil se
Samjho dua kabool hui hamari

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana saku
Dard-e-dil ka haal suna saku
Tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
Mauka mila hi nahi ki main dil ki baat tumhe bata saku

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
Lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte

Hume hasne-hasane ki aadat hai, nazron se nazar milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili, jinhe nazar zhukake sharmane ki aadat hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho??

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe sms karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere sms ka intezar karenge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab dosti ki dastan waqt sunayega,
Tumko bhi koi shaks yaad ayega,
Tab bhool jayenge zindgi ke gam ko,
Jab apke sath guzara samay yaad ayega.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wafa ruswa nahi karna
Suno! Aisa nahi karna
Main pehlay hi akela hon
Mujhe tanha nahi karna
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dil ka rishta hai hamara
Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad main hai chehra tumhara
Hum saath nahi to kya hua
Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zindagi Tere Naam

Thursday, September 11, 2008

Maa.....



Maaaaa mujhe sab yaad aa raha hai....

mujhe yaad aa raha hai.....

jab main tumhare pet me tha tabse tum mere se baat karti ho
meri sabse pehli dost mere sapno ki hasrat tum hi ho
maa tum tab kitne pyaar se apne armaan sajati thi
mujhse kitni ummeeden hain tum mujhe batati thi
tum kabhi kabhi udaas hoke bhi mujhse baat karti thi
tu mujhe na rulana beta ye bhi mujhse kahti thi
tum mujhe kabhi raaj-dulara kabhi mera lal kabhi chiraag kahti thi
maa sach kahta hun bus is baat se ab bhi mujhme jaan rahti hai


phir mere bachpane me maine hamesha tumko hi paya
jab zara si chot lagi mujhe maine khud ko teri god me paaya
jab koi nahi tha mere saath mere bachpaan me kuchh na tha khaas
tune har taraf ujaala failaya tu hi mujhe nazar aati rahi aas-paas
vo khel bachpan ke jo tum mere saath pyaar se khela karti thi
maa tere hone se hi baagon me khushiyun ki kali khila karti thi

tune mujhe kabhi majbooran apne sapne nahi bataye maa
main saye me teri vo palkon me meri khud hi palte aaye maa

tere sapno ke alava bhi mera ek hi sapna tha
mujhe tera har sapna har keemat pe poora karna tha

phir bade hone par maine jab jab hausle kum paaye
maine aapke sirf aapke hi umeedon bhare haath paaye
tera pyaar se mujhe kahna ki fikr na karo
chalte raho manzilon se bhi aage badho
sabko apna samjho sabse pyaar se raho
teri vajah se haari baazi bhi hum jeet.te rahe
jo kabhi nakaam bhi rahe to use phir jeet.ke hi rahe
maa ek tu hi thi jise humne khud se pehle saath paya
tum hi to thi meri zindagi ka pehla aur aakhiri sahara

mujhe jab jab gardishon ke halaat mile
mujhe thaamne hamesha tere haath mile

ye kaisa pyaar ma ki tune mujhe na batake hamesha sirf aage badhaya
chhota sa sapna bhi tera poora kia tune use bada batake kitna sukoon paya


phir jane kaise din kaale hone lage
hamare chahne hamare dushman hone lage
tune mujhe tab bhi kisi ke khilaaf na bhadkaya
hamesh insaaniyat ko hi sabse bada mazhab bataya

jitni mujsibaten badhtin thi tu mujhpe utna hi yaqeen dikhati thi
tere hone se saari mushkilen bahut aasaan jane kaise ho jaati thi

phir jab meri zindagi me gham'e'mohabbat'e'daur aaya
humne magar vo dard jaan pe khelke tujhse chhupaya
maine socha tha kuchh roz me kisi tarah ye theek ho jaega
rahunga door sabse to ye daur'e'vaqt bhi beet jaega

nahi jaante the ye gham ka badal badhte jaega
ye tezaab ki barishon ka silsila ab na ruk paega

maa tum kitni achhi ho main tumhe bata na saka
tumahare aasuon ka dia bhi magar bujha na saka
maa mujhe abhi bahut se kaam karne the
abhi to aapko naye sapne bhi dekhne the

socha tha jaldi laut aayunga
na malum tha yahi.n dafnaya jayunga
maa main jaldi aapse milne ke liye chalta gaya
mujhe nahi malum tha ki gham aage aage chalta gaya

maa main tujhe mar kar bhi apni udaasiyaan bata nahi sakta
tune kya kya na saha mere liye main bhula nahi sakta
maa mujhe malum hai tu mujhe dekhke bhi dilasa degi
zindagi phir hari bhari hogi yehi baat kahegi
par andar hi andar mera dard sahegi
roegi bahut aur aasun bhi na nikalne degi
jab teri nazren mujhe adhiktar paresha.n haal dekhen.gi
na sah sakunga jab teri ummeeden tere saamne hi tooten.gi

maa maine kabhi aapko mujhe haarte dekhne ka mauka na dia
sah lunga aage bhi khudaya jo bhi dard mujhe mila
main kaise kah dun tera sooraj doob gaya
tere sapno ka taaj mere haathon se chhoot gaya

maa mujhe maaf kar de mujhe maaf kar de
ye dard ab saha nahi jata tu mujhe jaane de
maa main jaa to raha hun par ye yaad rakhna
main vapis aayunga meri raah takna
khuda se yehi maangata hun mujhe chahe jaisi zindagi mile
harzindagi me mujhe meri maa tu hi mile tu hi mile
maa phir us janam me main aapko sirf khushi aur unke saaye doonga
tere paas se jaane ka bhoole se bhi naam na liya karunga
tera har sapna poora karunga
teri ummeedon pe khara utrunga

par is tarah yun roz mar mar ke jeena ab nahi banta
mujhe sabab'e'intzaar jo maloom hota na raasta banta

khuda ke vaaste hata le apne duaaon ke haath
teri duaaen bhi kyun ruswa hon jab koi nahi mere paas
mujhe ghamon ki gahri jheel me jaana hai
jahan meri tadap ko aaraam mil jana hai

maa main mayusiyun ko marte vaqt bhi tum tak na pahunchne dunga
tumhare aakhon ka noor hun khudko marke bhi na mitna dunga
maa maine kabhi bhi tere usoolon ka zahan se hatne na diya
maa tujhpe koi ungli uthhaye maine aisa koi kaam na kiya
jab tak jiya apni khuddaari ko na girne diya
tune sikhaya tha humne girne vaalon ko sahara diya


kaise kah dun maa mujhe jaana hai
bahut mushkil ab dard ko sah paana hai

is halat me main khudko tere saamne kabhi la nahi sakta
tune kitne jatan se pala mujhe apne zakhm dikha nahi sakta


maa bus yahi kahna chahta tha mujhe bhool jana tum
ho sake to mere phir se aane ke lie khushi manana tum
maa tumhe kasam hai bhoole se na aasun bahana tum
mere jaane ki khabar mere liye khud se chhupana tum
main hara nahi hun maa bus aane ke lie ja raha hun
bahut thak chuka hun maa zara sone ja raha hun


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


* Rahul *

who's online
who's online