Thursday, October 16, 2008

Romantic and Sad


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Hasrat hai,koi hume pyar se dekhay...
Armaan hai, koi phool hume dil se pukare...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Wafa ruswa nahi karna
Suno! Aisa nahi karna
Main pehlay hi akela hon
Mujhe tanha nahi karna
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Dil ka rishta hai hamara
Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad main hai chehra tumhara
Hum saath nahi to kya hua
Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
Dil Mange Tera Saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni Kismat Se
Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

Rooh Mitti Nahi Par, Janta Hun Shareer Nashvar Hai
Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loonga
Ye Dua Bud-Dua si Lagti Hai

Naam Jis ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai

Woh Abhi Is Taraf Se Guzri Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai

PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shayad
Aaj DUNiYA khafa Si Lagti Hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

meri tanhaai'o kaa zikr mehfil me naa kar sanam
yun bahaaro ko khizzaa'o me badla nahi karte

ashq teri aankho'n me khushi se jo ubhar aaye hai
yun ek qatre ki baarish me khud ko bhigoya nahi karte

meri justzu me the to sukoon haasil naa hua tumhe
jo bikhre hai to meri yaad se khud ko sameta nahi karte

saazishe tere hamnavaa'o ki me khub jaanta hoon
yun sar-e-aam mehfilo me khajar sajaya nahi karte

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi
Meri Saans Bikherne Wali Hogi
Phir Daman Zindagi Ka Choote Ga
Dhaaga Saans Ka Bhi Toote Ga
Phir Wapis Hum Na Aayenge
Phir Hum se Koi na Roothe Ga
Phir Aankho'n main Noor Na Hoga
Phir Dil Gham Se Choor Na Hoga
Us Pal Tum Hum Ko Thaamo Ge
Hum Se Dost Apna Maango Ge
Phir Hum Na Kuch Bhi Bolen Ge
Aankhain'n Bhi Na Kholen Ge
Us Pal Tum Ro Do Ge
Hum Ko Tum Kho Do Ge

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

WO LAMHE BHI AJEEB HOTE HAI
JAB SAB DOST KAREEB HOTE HAI
KISI KO NAFRATH MILI
KISI KO PYAAR YAHAN
HAR KISI KE APNE APNE NASEEB HOTE HAIN

YUN HI KISI KI YAADON MEIN RONA FIZUL HAI
ITNE ANMOL AANSU KHONA FIZOOL HAI
RONA TOH UNKE LIYE JO HUMPAR NISAR HAI
UNKE LIYE KYA RONA JIN KE AASHIQ HAZAAR HAIN


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

JAAGTE HAI TANHA RAATON MEIN
KHOTA HAI DIL UNKI BAATON MEIN
MILI NAHI DIL KI MANZIL AAJ TAK
KYUN KI DARD HI DARD LIKHA HAI IN HAATHON MEIN


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

KUCH BEETEY HUAY LAMHON SE MULAKAT HUYI
KUCH TOOTAY HUAY SAPNO SE BAAT HUYI
YAAD JO KARNE BAITHE UN TAMAAM YAADON KO
TOH AAPKI YAADON SE SHURUVAT HUYI


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

SAPNO ME KIYA GAYA SAFAR HAM DURI MAAN CHUKE
PAIDA KI GAYI ZAROORATH HAM MAJBURI MAANCHUKE

YE DUNIYA TERI YAADON SE BHARI HAI TO KYA HUA
ANKHE BANDH KAR KE TERI GALI KO ANDHERI MAAN CHUKE

DHADKAN AUR SAANS KA CHALA GAYA EHSAAS
AB TO APNE AAP KI BAAT BHI ADHURI MAAN CHUKE

HAKEEKAT KYA HAI KOYI HAME NA SAMJHANA
HAM DUNIYA KI BAATON KO LORI MAAN CHUKE


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta Hoon Ke khuda Kare
Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Me Kabhi Mila Nahi


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Aaja Andheri Raate
Tanha Bita Chuka Hoon
Shama Jaha Na Jalti
Ankhen Jala Chuka Hoon
Tum Aaoge Kisi Din
Isi Intizaar Me
Najane Kitni Hasrate
Mita Chuka Hoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Chand Aahein
Yeh Chand Aansoo
Siwa-e-Inke Bacha Hi Kya Hai
Zamana Kya Chheen Lega Humse
Kisine Humko Diya Hi Kya Hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-e-Israr Nazar Aate Hai
Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To Bezaar Nazar Aate Hai
Mere Daman Me Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai
Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-e-Bazaar Nazar Aate Hai
Main Darta Hoon Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Kya kaat liye chaar din pardes me
ab wo hume apna purana aashiq bhi samajhte nahi
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai
wo aise guzarte hai jaise jaante nahi
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai duniya ka
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~

JAKHM RUH PAR DEKAR MERE,
VO MARHAM JISM PAR LAGANE KO KEHTE HAI,
OR VO JO THE KAATIL MERE,
MUJHE INSAAF DILAANE KO KEHTE HAI,
KRTA BHI TOH KAISE YAKI,
MAIN USKI BAATON PAR YAARON,
VO JO TOAD DETI HAE HAR VAADA,
JO VO NIBHAANE KO KEHTI HAI,
TAB KAHI JAAKE SAAF HUE NAZROAN ME SHAKSIYAT USKI,
JAB VO MUJHE MERA ISHQ BHUL JAANE KO KEHTI HAI


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi

Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi

Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi

The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi

Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Rahul






No comments: