Friday, September 18, 2009

Shayaries by a Friend



Jaise chahte the hum unhe,
Vo bhi humein chahte to kya baat hoti....

Paane ka armaan to tha,
Bin maange mil jaate to kya baat hoti....

is dil mein pyaar tha kitna,
Vo jaan lete to kya baat hoti....

Humne manga tha unhe khuda se,
Vo bhi hume maag le to kya baat hoti....

Ek baar humse keh dete ki hum,
Aap ke dil me rahte hai to kya baat hoti....

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

ChaaNd se phool se ya meri zubaaN se suniye,
Har taraf aapka kissa jahaaN se suniye,


Sabko aata hai duniya ko sata kar jeena,
zindagi kya mohabbat ki duaa se suniye,


Meri awaaz parda mere chehare ka,
Main hu Khamosh jahaaN mujhko waha se suniye,


Kya zaruuri hai ki har pardaa uThaya jaaye,
Mere halat apne apne makaaN se suniye..!!!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

dil ki har karvat pe zindagi kuch yun badal jaati hain,
pata nahi padta ki bikhar kar meri zindagi kaise sanwar jaati hain,

jaane kya kehti hain meri hasratein aisa,
ki dhadkane khud b khud simat jaati hain,

hoti hain darmiyaan khwashison ke kuch aisi saadish,
ki tammanna chup chap mere daaman se ro ro ke lipat jati hain,

chal pada hain dil jaane kisko dhundane,
ki beghar aarzoon uske bhatakane ke khayal se darr jaati hain,

mana ki mein roti hoon tanhiyon mein chup chap deewaron se liptakar,
par sach hai yeh dard se mere shabdon ki duniya aur nikhar jaati hain,

aandheron ke masoom veerane bade pyare lagte hain mujhe,
jab chup chap uski yaadein meri saansoon ko chu ke guzar jaati hain,

bas isi umeed pe ki ek din toh mere intezaar ko sukoon milega,
mere khwabon ki duniya toot kar sambhal jaati hain,

meri masoom prem kahani ke kisse sunkar,
yeh pathar ki deewaren bhi raat ki bahon mein pighal jati hain,

uski bewafiyan kuch yun milti hain mujshe zamane ke samane,
ki meri tanhai ki chahatein ek pal mein ujad kar reh jaati hain,

woh raat ke andheron mein chup chupkar rota hai mujhe yaad karke,
yeh jankar uski bewafiyan mitti mein mil jaati hain,

uske diye zakhmo ko nasoor banata dekh,
mere khaylon ki unchaiyan mere husn ki tarah khil jaati hai,

mazaa aata hai jab woh apne diye zakhmo pe khud hi namak chidak jaata
hain,
uski yahi aadaa mere ishq ko ibaddat ka darja de jaati hain.

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kab kon kisi ka hota hai
sab jhootay rishtay natay hain
sab dil rakhnay ki batain hain
sab asli roop chupatay hain
ikhlaq se khali log yahan
lafzon k teer chalatay hain
ik bar nighahoon main aakar
phir sari umer rulatay hain
wo jis ne dia hain ashk humain
aao us ko bhool he jatay hain..
aur in AANSUO se Diye jalate hai...

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

क्या लिखूँ
कुछ जीत लिखू या हार लिखूँ
या दिल का सारा प्यार लिखूँ ॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰॰
कुछ अपनो के ज़ाज़बात लिखू या सापनो की सौगात लिखूँ ॰॰॰॰॰॰
मै खिलता सुरज आज लिखू या चेहरा चाँद गुलाब लिखूँ ॰॰॰॰॰॰
वो डूबते सुरज को देखूँ या उगते फूल की सान्स लिखूँ
वो पल मे बीते साल लिखू या सादियो लम्बी रात लिखूँ
मै तुमको अपने पास लिखू या दूरी का ऐहसास लिखूँ
मै अन्धे के दिन मै झाँकू या आँन्खो की मै रात लिखूँ
मीरा की पायल को सुन लुँ या गौतम की मुस्कान लिखूँ
बचपन मे बच्चौ से खेलूँ या जीवन की ढलती शाम लिखूँ
सागर सा गहरा हो जाॐ या अम्बर का विस्तार लिखूँ
वो पहली -पाहली प्यास लिखूँ या निश्छल पहला प्यार लिखूँ
सावन कि बारिश मेँ भीगूँ या आन्खो की मै बरसात लिखूँ
गीता का अॅजुन हो जाॐ या लकां रावन राम लिखूँ॰॰॰॰॰
मै हिन्दू मुस्लिम हो जाॐ या बेबस ईन्सान लिखूँ॰॰॰॰॰
मै ऎक ही मजहब को जी लुँ ॰॰॰
या मजहब की आन्खे चार लिखूँ॰॰॰
मेरी खामोशियों में भी फसाना ढूंढ लेती है॰॰॰॰॰॰
बड़ी शातिर है ये दुनिया बहाना ढूंढ लेती है॰॰॰॰॰॰
हकीकत जिद किए बैठी है चकनाचूर करने को
मगर हर आंख फिर सपना सुहाना ढूंढ लेती है
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shayari By
Divya Prakash Dubey


*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Haa sach hai ki hum unse aaj kal door door rehne lage hai..

Wo kehte hee the hume bewafa,

hum bhee khud ko bewafa kehne lage hai..

Dard aaj is kadar badh gaye hai mere..

Ki saare ke saare dekho aankh se behne lage hai...

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum badal gaye hai ab humse bataya sabhi ne..

Saath to wo thaa hi nahi ab hum bhee tanha rehne lage hai..

Hume hee to saukh thaa unke jaisa banne ka..

Deho tabhi to hum bina kaam ke masroof rehne lage hai…

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho
Mujay Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho
Mujay Dekho Har Lamha Yuhi
Mujay Tum Apni Pehchaan Kaho
Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish
Mujay App Apna Maaan Kaho
Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho
Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho
Har Lamha App Ko Hi Chahoo Main
Mujay Payar Ki App Apni Shaan Kaho
Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai
Ussay Zameen Kaho Asman Kaho
Sub Kartay Hain Batain App Ki
Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho
App Ki Dunia Mein Khoii Rehti Hun
Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho
Rakhoo Door Har Shaher Ko App Se
Mujay Dost Kaho Negebaan Kaho
Bheek Payar Ki Apni De Do
Chahy Fakiir Kaho Sultan Kaho

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah...
Mujhay Buss Itna Kehna Hai,Kabhi Main Yaad Aaon Tou...

Kabhi Tanhai Ki Ratain Tumhen Ziyada Sataen Tou...
Kabhi Titli Na Bolay Tou, Aur Jugnou Lout Jaye Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bher Jaye,Koi Jab Sun Na Paye Tou...
Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tum sey Routh Jain Tou

Kabhi Jab Khud Sey Larr Kar Thakan Sey Chour Ho Jao Tou...
Kabhi Chahtey Hoey Bhi Khud akelay Roo Na Pao Tou
Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena...

Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena
Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena...

Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana
Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main

Hamien Dil Sey Pukaro Gay,Tou Hamen Tum Saath Paao Gay
Main Her Pal Tumray Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah...

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

TUM BHI KHAFA HO
Tum bhi khafa ho, laug bhi barham hein dosto!
Ab ho chala yaqeen ke burey hum hein dosto!

Kis ko hamarey haal se nisbat hai, kya kahein
Aankhein tou dushmanoun ki bhi purnam hein dosto!

Apney siwa hamaarey na honey ka gham kisse
Apni talaash mein tou hamee hum hein dosto!

Kuch aaj shaam he se hai dil bhi bhuja bhuja
Kuch sheher ke chiraagh bhi maddham hein dosto!

Iss shehr aarzoo se bhi baahir nikal chalo
Ab Dil Ki Ronaqein bhi koye dam hein dosto

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ab hume ishq me ye hunar iqthiyaar karma hai,

Wo sach kahe ya jhoot hee, hume aitbaar karma hai…

Hum jante hai aur maante bhee, ki wo nahi aayege…

Par ye jaane kaisi zid hai ki hume to intzaar karma hai…

Chain aana aisa kuch mushkil bhee nahi par....

Sayad hume hee khud ko beqaraar karna hai....

Ek baat batau dosto, aaj kal hume ek naya saukh laga hai dekho...

Ki hume khud kaa naam khud ke dusmano me shumaar karna hai..

Kaisa bana dosto....??

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

*** YAADEIN ***
Tujhe Pyaar mera satayega
Yaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon main
Tu logon ke darr se mitayega
Zikar mera aksar karne se pehle
Tu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengi
Jitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe
Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya hai
Us ka chain bhi koi churaye ga******

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tumhari Yaad ka Badal Phir Chhaya Hai,
Ye Weham Hai Ke Teri Justaju Ka Saya Hai,


Har Ek Muqaam Mohabbat Ko Dekh Kar Aksar,
Mere Labo Pe Tumhara hi Naam Aaya Hai,


UsiKi Aankh Se Poocho Mazaj Mousam Ka,
Wo Ek Shaks Jo Sawan Ko Dekh Aaya Hai,


Shab-e-Faraq Mujhe Aur Etbaar Na De,
Ke MaiNe Dil Ko Bahut Baar Azmaya Hai,


Khabar Nahi Ke Nageena Hai Ya Koi Moti,
Ye Ek katra Khoon Jo Palak Pe Aaya Hai,


Jo Zabt-e-Gum Tha Irshad Hosla MujhKo,
Tumhari Yaad Ne Aksar Mujhe Rulaya Hai..!!!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

KAASH WOH AISA KARE
Woh mujhe chahe aur mujh se pyaar kare
Main kahin bhi rahoon woh mujhe yaad kare
Mere liye hi kare woh ghar main chiraagha
Aur mere liye hi apne dil ko beqaraar kare
Apne Jazbon ko mujh tak pounchane ke liye
Zabaan se na sahi Dil se izhaar kare
Kuch bhi kare main to bas itna chahoon
Woh kahin bhi rahe bas mujhse pyaar kare. !

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh manzar yeh saama
teri yaad delati hain
jab bhi iss raah se guzro
teri yaad chali aati hain


teri galiyon mein mera intezar karna
woh mera chup chup ke tujhko dekhna
wahan ki dukan se tera choriyan kharidna
teri payal ki aawaz se mere dilka machalna
yeh galiyan aur yeh choriyan
teri yaad delati hain



tera woh barsaat mei khelna
aur mera bheeg bheeg ker bas tujhko dekhna
tera woh bhoolapan dil ko bhagaya
meine ek nazar mei hi tujhko apna bana liya
yeh barish ki boondein yeh chandni raatein
teri yaad delati hain


ek din socha keh don apni dil ki baat
ke tumhi ho khayalon mei mere din raat
per auron ki tarah me

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ho Gaee Rukhsat Ghatta Barish Kay Baad
Ik Deya Jalta Rahha Barish Kay Baad

Merray Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Roo Parhee Thandi Hawwa Barish Kay Baad


Meri Tanhaee Ka Daman Thaam Ker
Kuch Uddasi Nay Kahha Barish Kay Baad

Yaad Terri Orh Ker Main Soo Gayya
Khawab Ka Der Khull Gayya Barish Kay Baad

Chaand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Kay Baad

Apnay Kachay Gher Ki Her deewar Per
Naam Terra Likh Deya Barish Kay Baad.

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

HUM KO SATAANE KI ZAROORAT KYA THI
Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.
Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.
Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.
Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.
Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yahan sabko miley pyar ye zaroori to nahi hai
Ho qismat par ikhtiyar ye zaroori to nahi hai


Dard Dil mein agar hoo tho rooh roti hai
Aankhein roye zaar zaar ye zaroori to nahi hai


Phoolon ki chubhan see joo daman howa chalni
Ho usmey koi khar ye zaroori to nahi hai


Jo harghari khatey hain sang marney ki kasmein
Ho sang jeeney ko taiyaar ye zaroori to nahi hai


Umeed mee jiski teri palkein howi pathhar
Usey hoo tera intezar ye zaroori to nahi hai


Yaqeen karke jis ko apni zindagi banown
Usey tujhpar hoo aitbar ye zaroori to nahi hai


Band ker rona khwab badnaseebi par apney
Ziist see hoo sab bezar ye zaroori to nahi hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Humse Na Kahna Kabhi


humse na kehna kabhi ke chhod ke jaaoge
jaaoge toh yeh jaan lo dil tod ke jaaoge

hum baat pe jaane ki yeh jaan bhi luta denge
dekhenge na woh din jab muh mod ke jaaoge

in pyaar ki raahon mein khaaoge bahut dhokhe
nata jo parayon se tum jod ke jaaoge

dil kaise churaoge nazron se apni
mana ki sharafat ko tum oddh ke jaaoge.

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga


*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

THANKS SO MUCH
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*