Tuesday, October 23, 2007

Gazals Shayari




Sajda bhi karenge baksh-e-rooh jallad se...
muntazir mein hoon marasim-e-sahar ki..
bewafai ki hadein dekhi hai maine yaro..
wafa ki hud paar kar chuke sanam tere intzaar mein......

*****************************************************************


kehne ko toen ruswa hai mehfil mein bhi tanha...
dushmanon se nahi dostoen se khayi hai shikast..
ab kis se karein haal-e-dil bayaan tu hi bata ai dil ki aarzoo..
ashkoen ke samundaar mein kabhi khiltein nahi kawal...
haar ke jina nahi ai gum-e-zindagi tu hi zara sambhal...
ladkhadaye pair toen kya ai galib....
woh insaan hi kya jo chaltein hai saaf rastoen se..
paa hi jayega woh manzil saath uske bhi karwaa hoga...
bewafa hai tu toen kya ...yaadoen se teri ai haseen jaaney kitno ka dil jawaan hoga...


*****************************************************************


machal uthi hai tammanayein phir jaagi hai khwahishey...
phir hogi rooh-e-takth par wohi daur-e-aazmayishey...
bhataktey rahey umr bhar humsafar ki aas mein....
boltey rahey kuch hum khud hi se kuch viraan raastey....
kadam chalte-chalte ruk se gaye aahat pe yaar ki....
bikhar bikhar ke phir chal diye anjaan rastey.....


har dil mein khwahish-ai-yaar ki hoti hai har ghadi.....
waqt ke paimaaney mein dhal jati hai har kali......
baykhof sa rehta hai naseebo ka falsafah.....
jahanam mein bhi umeed-ai-ansar ki rakhta hu har ghadi......


*****************************************************************


Aye Dost Teri Yad Mai Dil Ka Usul Hai
Ham Tujh Ko Bhul Jayege Ye Teri Bhul Hai
Meri Ankhon Se Koi Anson Na Nikla Lekin
Ghar Ke Har Dar Se Rone Ki Sada Ati Hai
Shikwe Bhi Ziyada Hai Aur Shikayat Bhi Bahut Hai
Aur Is Ke Liye Dil Mai Mohabbat Bhi Bahut Hai
Tum Mujh Se Bhichad Jao Tu Yu Mayus Na Hona
Kyonki Rishtu Ke Nibhane Mai Musibat Bhi Bahut Hai


*****************************************************************


Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya...
Mein Ne Kaha Husn Bhi Tum Se Mukar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Tujh Ko Deelani Hein Choriyaan...
Mein Ne Kaha Ke Aab Woh Zamana Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Howi Kajal Ki Dhaar Si...
Mein Ne Kaha Ke Aankh Se Darya Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Yeh Teri Chiryoon* Se Dosti...
Mein Ne Kaha Ke Dil Mera Duniya Se Bhar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Mila Sab Se Big'aar Ke...
Mein Ne Kaha Ke Waqt To Aacha Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Khwab Mein Aane Ka Waqt Do...
Mein Ne Kaha Ke Neend Ka Mosaam Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Tere Suraj Ka Kya Bana...
Mein Ne Kaha Ke Woh Mere Dil Mein Utar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Nahi Dega Tumhara Saath...
Mein Ne Kaha Ke Woh Chalo Wada To Kar Gaya...

Akhir Ko Tang Aake Kahi Us Ne Itni Baat "FAHAD"
Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya


*****************************************************************


Ye sannata bahut mahanga padega
usse bhi futkar rona padega.............

wahi do char chehare ajnabi se
unhi ko fir se dohraana padega

koi ghar se niklta hi nai
haawa ko thak kye so jana padega

yaha suraj bhi kala pad gaya hai
khahi se din bhi mangwana padega

wo ache thye jo pahle mar gye
hume to orr pachtana padega!


Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Main ne poocha zindagi se ishq ka anjaam to
keh gai hai kaam main ruswai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi


*****************************************************************


Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo
insan apnay aap mein majboor hay bohat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo
is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
thak haar kay wo sogya afsos mat karo
dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
jo hona tha so hogya afsos mat karo
is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
mein jald lot aoon ga afsos mat karo
ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
ik roz wo bhi aiga afsos mat karo
wo tum se aaj door hay kal paas aiga
phir se khuda milaiga afsos mat karo
bekar Dil pay bojh liye phir rahay ho "FAHAD"
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo


*****************************************************************


Honi Hai To ik Bar Hi Ho Jaey Muhabat
Ye Bhool Hai Aisi Ke Dobara Nahi Karte

Acha Huwa Meine Hi Faqat Dekha Magar Yun
Mehfil Mein Kisi Ko Bhi ishara Nahi Karte

Mil Jaey Sar-e-Rah Jo Bichra Huwa Koi
Chup chap hi Takte Hain Pukara Nahi Karte

Kiyun Piyar Ki Bazi Se Ho is Darja Gurezan
Kihte Hain Ke Dill Har Ke Bhi Hara Nahi Karte

Kajal Se Bhi Ab Kaam Koi Le Na dost
Yun Dard Se Ankhon Ko Sanwara Nahi Karte


Jism ke har kone se, Khushboo Tumhaari aaTi hai..
Jab bhi Tanha hoTi hun, Yaad Tumhari aaTi hai.. "

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

"Ho gaye Tumse juda, KiTne badnaseeb hain hum..
Rootha humse aaj humara khuda, KiTne fakeer hain hum.."


*****************************************************************


Aaj phir usi chhaT pe khadi hun main..

Aaj phir usi shaks ka inTzaar kar rahi hun main...

Isi mukaam pe mila karTe The kabhi..

Aaj phir uski raah dekh rahi hun main...


Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darti rehti hon,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,

Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan FIDA Ajeeb si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai ...


*****************************************************************


Kitney taqleefo se us ne mujhey bhulaya hoga

Meri yaad ney usey khooob rulaya hoga

Baat be baat aankh uski jo chalki hogi

Usney chehrey ko Haatho mein chuppaya hoga



Socha hoga usne din mein kayi baar mujhey

Naam hatheli pe likh likh ker mitaya hoga

Jaha usne mera zikar suna hoga kisi se

Uski aankho mein koi aansu to aya hoga



Raat ko bhi dair tak neend na ayee hogi

Usne takiye ko bhi seeney se lagaya hoga

Ho ke behaal meri yaadon se us ne

Meri tsweer se sir apna tikaya hoga




Poocha hoga jo kisi ne uski halat ka sabab

usne baaton mein khoob usey chhupaya hoga

Jab kisi chand ko dekha hoga akaila tune

use mera pyaar bahut yaad aya hoga


*****************************************************************


Milo mujh se .....
Meri zendgi ki sabhi raahien
Milti hain meri tanhai se
Har raat k baad subah aa he jati hai
Fasile hain k thakte he nahi juddai se
Milo mujh se .....
Zendgi shuroo hoti hai jaha se
Apni tu khatam hoi hai waha se
Intzaar tha muat ka woh bhi mil gayi
Dil ki kader nahi jaha ja rahe hain waha se
Milo mujh se .....
Ishq ko rutba diya khuda ka
Osi ne tana diya hai jafa ka
Jo mila tha woh sab kho geya hai
Kya yeh hi anjaam tha meri wafa ka


*****************************************************************


NAZRO SAI NAZRAI MILEE TO BURA

MAN GAI,..



HUM NAI ANKHON SAI ISHARA KIA

TO BURA MAN GAI....



MOHOBBAT KA IZHAR TO UNHONAI

BHI KIA...?



HAAL-E-DIL HUM NAI SUNAYA TO

BURA MAN GAI..?



HAR BAT PAR MUSKRANA AADAT THI

UNKI..?



ZARA HUM NAI HANSAYA TO BURA

MAN GAI..?



HUME AZMANE KI BAT KARTI

THAI WO AKSAR..?



JAB HUM NER AZMAYA TO BURA

MAN GAI..?



PYAR MAI BAIWAFAI NA KARNA

AKSAR WO KAHTI THAI...?



IS BAT KO MAINE DHURAYA TO

BURA MAN GAI...?


*****************************************************************


Terey Naam Ghazal Likh Raha Hoon
Ek Hijar Ka Wasal Likh Raha Hoon

Terey Chehrey Ki Khoobsoorti Ko
Ek Chaand Likh Raha Hoon

Teri Bheggi Huwi Zulfoon Per
Ek Deewaan Likh Raha Hoon

Terey Hoontoon Ki Piyaas Ko
Ek Sharaab Likh Raha Hoon

Terey Hansney key Andaz Ko
Ek Shabbab Likh Raha Hoon

Terey Aashkoon Ki Barsat Ko
Ek Darya Likh Raha Hoon

Teri Nazuk Aadaoon Ko
Ek Gulab Likh Raha Hoon

Teri Dilkash Aawaz Ko
Ek KoYal Likh Raha Hoon

Teri Aakhoon Ki Kashish Ko
Ek Jaam Likh Raha Hoon


*****************************************************************


Terey Naam Ke Intisaab Per May !
Bus Ek Kitab Likh Raha Hoon
Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu

khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu

Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu

Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu

Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu

Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu

Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu

Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu

Ek muddat sey jiesy dil ney bhula rakha tha
Aaj palkho pa wo tasveer baney hein Ansu

Jisny tanha mujhy rota hua chora tha FAHAD
Aaj tak uskey lia likh hi rahey hain Ansu


*****************************************************************


BHOOL KAR APNE AAPKO SOOCHNA PADHATA HAI KISI K LIYE,
YE EK DASTOOR BANA LO TUM APNI ZINDAGI K LIYE,


ZINDAGI KI RAH MEIN APNE LIYE HASEEL KARNA HAI KITNA ASAAN,
KABHI SAHA BAN K DEKHOO ZINDAGI MAIN KISI K LIYE,


WOH INSAAN HI KIYA JO SOOCHE BAS APNE HI LIYE,
HAI ROOKNA BAHUT HI MUSHKIL AANSON KO KISI KI KHUSHI K LIYE,


ZAKHM PE ZAKHM KHANA SIRF MARDON KA HI KAM HUWA KARTA HAI,
NA KARNA KOI AISA AMAL JO TAKLEEF BANE KISI DIL K LIYE,


SUHANE KHAWAAB DEKHNE WALA YE SHAKS AAG AANKH BAND KIYE BAITHA HAI,
KHUSH HOTA HAI AB "AMIT" BASS AAP LOGON KI KHUSHI K LIYE...!!!


*****************************************************************


ChaaNd se phool se ya meri zubaaN se suniye,
Har taraf aapka kissa jahaaN se suniye,


Sabko aata hai duniya ko sata kar jeena,
zindagi kya mohabbat ki duaa se suniye,


Meri awaaz parda mere chehare ka,
Main hu Khamosh jahaaN mujhko waha se suniye,


Kya zaruuri hai ki har pardaa uThaya jaaye,
Mere halat apne apne makaaN se suniye..!!!


dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum

socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum

toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume
in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...


*****************************************************************


Tumse kitni mohabbat hai ye me bata nahi sakta
Apni zindai me tumhari ahemiyat jata nahi sakta
Meri zindagi ka har lamha tumhi se shuru hota hai
Tumse duur reh ke ek pal bhi akele bita nahi sakta

Mumkin hai me khud ko bhool jaau
Par tujhe bhoolne ki khata me kar nahi sakta
Tum mere dil me hi nahi mere rom-rom me base ho
Tumse bichad ke me ye zindagi jee nahi sakta

Yakeen nahi hota ki tum chahte nahi hume,
Apne dard ko apni zubaan se bayan kar nahi sakta,
Aaj vaada hai mere dil se aye mere sanam,
Tumhari siva me kisi aur ko chah nahi sakta,

main hu BADNAAM , tum zindagi ho meri
Tumhari bina mera dil dhadak nahi sakta,
Saath tumhare me hamesha rahuga
Itna samajh lo,
jo tum saath nahi to ye pagal bhi jee nahi sakta ...........


who's online