Thursday, September 11, 2008

Maa.....



Maaaaa mujhe sab yaad aa raha hai....

mujhe yaad aa raha hai.....

jab main tumhare pet me tha tabse tum mere se baat karti ho
meri sabse pehli dost mere sapno ki hasrat tum hi ho
maa tum tab kitne pyaar se apne armaan sajati thi
mujhse kitni ummeeden hain tum mujhe batati thi
tum kabhi kabhi udaas hoke bhi mujhse baat karti thi
tu mujhe na rulana beta ye bhi mujhse kahti thi
tum mujhe kabhi raaj-dulara kabhi mera lal kabhi chiraag kahti thi
maa sach kahta hun bus is baat se ab bhi mujhme jaan rahti hai


phir mere bachpane me maine hamesha tumko hi paya
jab zara si chot lagi mujhe maine khud ko teri god me paaya
jab koi nahi tha mere saath mere bachpaan me kuchh na tha khaas
tune har taraf ujaala failaya tu hi mujhe nazar aati rahi aas-paas
vo khel bachpan ke jo tum mere saath pyaar se khela karti thi
maa tere hone se hi baagon me khushiyun ki kali khila karti thi

tune mujhe kabhi majbooran apne sapne nahi bataye maa
main saye me teri vo palkon me meri khud hi palte aaye maa

tere sapno ke alava bhi mera ek hi sapna tha
mujhe tera har sapna har keemat pe poora karna tha

phir bade hone par maine jab jab hausle kum paaye
maine aapke sirf aapke hi umeedon bhare haath paaye
tera pyaar se mujhe kahna ki fikr na karo
chalte raho manzilon se bhi aage badho
sabko apna samjho sabse pyaar se raho
teri vajah se haari baazi bhi hum jeet.te rahe
jo kabhi nakaam bhi rahe to use phir jeet.ke hi rahe
maa ek tu hi thi jise humne khud se pehle saath paya
tum hi to thi meri zindagi ka pehla aur aakhiri sahara

mujhe jab jab gardishon ke halaat mile
mujhe thaamne hamesha tere haath mile

ye kaisa pyaar ma ki tune mujhe na batake hamesha sirf aage badhaya
chhota sa sapna bhi tera poora kia tune use bada batake kitna sukoon paya


phir jane kaise din kaale hone lage
hamare chahne hamare dushman hone lage
tune mujhe tab bhi kisi ke khilaaf na bhadkaya
hamesh insaaniyat ko hi sabse bada mazhab bataya

jitni mujsibaten badhtin thi tu mujhpe utna hi yaqeen dikhati thi
tere hone se saari mushkilen bahut aasaan jane kaise ho jaati thi

phir jab meri zindagi me gham'e'mohabbat'e'daur aaya
humne magar vo dard jaan pe khelke tujhse chhupaya
maine socha tha kuchh roz me kisi tarah ye theek ho jaega
rahunga door sabse to ye daur'e'vaqt bhi beet jaega

nahi jaante the ye gham ka badal badhte jaega
ye tezaab ki barishon ka silsila ab na ruk paega

maa tum kitni achhi ho main tumhe bata na saka
tumahare aasuon ka dia bhi magar bujha na saka
maa mujhe abhi bahut se kaam karne the
abhi to aapko naye sapne bhi dekhne the

socha tha jaldi laut aayunga
na malum tha yahi.n dafnaya jayunga
maa main jaldi aapse milne ke liye chalta gaya
mujhe nahi malum tha ki gham aage aage chalta gaya

maa main tujhe mar kar bhi apni udaasiyaan bata nahi sakta
tune kya kya na saha mere liye main bhula nahi sakta
maa mujhe malum hai tu mujhe dekhke bhi dilasa degi
zindagi phir hari bhari hogi yehi baat kahegi
par andar hi andar mera dard sahegi
roegi bahut aur aasun bhi na nikalne degi
jab teri nazren mujhe adhiktar paresha.n haal dekhen.gi
na sah sakunga jab teri ummeeden tere saamne hi tooten.gi

maa maine kabhi aapko mujhe haarte dekhne ka mauka na dia
sah lunga aage bhi khudaya jo bhi dard mujhe mila
main kaise kah dun tera sooraj doob gaya
tere sapno ka taaj mere haathon se chhoot gaya

maa mujhe maaf kar de mujhe maaf kar de
ye dard ab saha nahi jata tu mujhe jaane de
maa main jaa to raha hun par ye yaad rakhna
main vapis aayunga meri raah takna
khuda se yehi maangata hun mujhe chahe jaisi zindagi mile
harzindagi me mujhe meri maa tu hi mile tu hi mile
maa phir us janam me main aapko sirf khushi aur unke saaye doonga
tere paas se jaane ka bhoole se bhi naam na liya karunga
tera har sapna poora karunga
teri ummeedon pe khara utrunga

par is tarah yun roz mar mar ke jeena ab nahi banta
mujhe sabab'e'intzaar jo maloom hota na raasta banta

khuda ke vaaste hata le apne duaaon ke haath
teri duaaen bhi kyun ruswa hon jab koi nahi mere paas
mujhe ghamon ki gahri jheel me jaana hai
jahan meri tadap ko aaraam mil jana hai

maa main mayusiyun ko marte vaqt bhi tum tak na pahunchne dunga
tumhare aakhon ka noor hun khudko marke bhi na mitna dunga
maa maine kabhi bhi tere usoolon ka zahan se hatne na diya
maa tujhpe koi ungli uthhaye maine aisa koi kaam na kiya
jab tak jiya apni khuddaari ko na girne diya
tune sikhaya tha humne girne vaalon ko sahara diya


kaise kah dun maa mujhe jaana hai
bahut mushkil ab dard ko sah paana hai

is halat me main khudko tere saamne kabhi la nahi sakta
tune kitne jatan se pala mujhe apne zakhm dikha nahi sakta


maa bus yahi kahna chahta tha mujhe bhool jana tum
ho sake to mere phir se aane ke lie khushi manana tum
maa tumhe kasam hai bhoole se na aasun bahana tum
mere jaane ki khabar mere liye khud se chhupana tum
main hara nahi hun maa bus aane ke lie ja raha hun
bahut thak chuka hun maa zara sone ja raha hun


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


* Rahul *

who's online
who's online

1 comment:

Anonymous said...

Very NIce too good