Tuesday, March 17, 2009

Shayari..........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Jagah Main Tu Samaya Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Zamana yeh sochhey kee hamey dard nahi hota
roney kaa yeh aalaam jo sachh nahi hota

Ek hi shikayat zindagi tujhsay hai hume
ashqon kaa hai dariyaa par samundar nahi hota

dabdabayi aankhen liye kholey khada hai woh baahen apni
dardey dil bayaaan karr ke bhi dil halkaa kyun nahi hota

aankhon ki zidd jo kabhi poori nahi kartey hum
waqt bewaqtt kaa ronaa.... bhi Rona nahi hota

tamaam umar tarastey rahe teri moorat ae humsafar
Tera yeh ilzaam phir bhi angaara kissii kaa nahi hota

muskuratey rahey khwabon main tujhey bahoon main liye
Shayaad subah kaa har sapna bhi sach nahi hota

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab pyar karna seekh liya,
toh pyar nibhana bi seekh liya,
jab aaye aapki yaad toh,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se ki koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pyar chupta nahi aankhen jukane se
dil rukh ta nahi kisi ke sumjhane se
hum aapko yaad karte hain jeene ke bahane se
kyu ki rukh jaati hain dharhkan apko bhul jaane se....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Zindagi ji to lenge ,par zindagi sambhlegi
nasib se aiser umeed nahi,

Bin uske ji na payenge, par sang uske jiyenge
khudse aisi umeed nahi,

hum to use chahenge humesha,par wo chenge hume,
unse aisi umeed nahi.

In baaton ko wo samjhegi kaise,
jab mere dil tak usne pahunchne ki koshis kabhi ki hi nahi...........


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Abb khud ko mera dost batata hai koi,
jaise mujh par ehsaan jatata hai koi,
jaan kar bhi mujhe andhere se dar lagta hai,
sham se pehle hi charag bujhata hai koi,
mujh ko bura aur raqeeb ho acha batata hai koi,
meri wafa ka badla aise chukata hai koi,
khud apne par hi nahi rehti nigahain,
mujhe har waqt nighain dikhata hai koi,
waqt ko theek kar koi nahi sakta,
kyon ache waqt ka dilasa dilata hai koi,


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

yaad dil se teri main bhulane chali,
teri har nishani ko dil se mitane chali,

yun tou yaad tujhe main din raat karti hoon,
aaj tu nahi hai yeh dil ko main samjhane chali,

tujhse kabhi zindagi jeene ka bahana milta,
aaj ussi zindagi par khaakh udaane chali,

tune tham liya haath gair ka mujhe khwaab dikhakar,
aaj teri tasveer ke saath khudko jalane chali,

tu kar ke vadaa mujhse milne ka phir kabhi na aaya,
yehi vadaa ab dil mein liye raahon per teri aane chali,

todi kasame wafa ki tumNe to bas iss zamane ke liye,
zamane se bagawat karke teri kasmon ko main to nibhane chali

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamne kisi ko dil dekar dard paya,
khushi dhundne nikle the gam ko gale lagya,
kismat me hamari pyaar hai hi nahi shayad,
hamne to jab bhi kiya dhoka hi khaya.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aansu bhare un palon ko bhul jao,
Muskurao aur khud ko bhul jao,
Jahan hum jaise doston ki mehfil hai,
Gum ko banto aur beeti baatein bhul jao.......


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

dosti ka matlab samjho ,
khushi hogi humein agar tum aapne dard banto,
muskuraoge tum yeh yakin samjho,
Doston ki mehfil me khud ko na akela samjho..........


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamari Dosti Ko Na Dil Se Kabhi Juda Karna,
Zindgi me Na Kabhi Ye Guna Karna,
Kuch Pal Chahe Beet Jaye, Tumse Baat Kiye Bina,
Kahin Zindgi Na Beet Jaye Dua Karna.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamesha harek arzoo puri nahi hoti
Har chahat mukaam-e-justujoo nahi hoti
Jiske zindagi ki raah mein aap jaisa dost ho
Uski koi khwaish kabhi adhuri nahi hoti


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo jo hamne din kaante ushko bhulné ki koshish mat karna,
Dosti jo hamne aapse nibhayi wo todne ki koshish mat karna,
Hum mar bhi jaaye magar aap ki yaado ko lekar jaayenge,
raste mein kaante kyun na aaye hum dosti nibha kar jaayengé

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Socha na tha ek din aisa bhi aayega
Ki ek pyara sa dost humein bhul jaayega
Hum ruke hain uske intezaar mein
Aur woh humein I MISS YOU bhi kehna bhul jaayega


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil se dil badi mushkil se milta hai
tufan mein dost badi mushkil se milta hai
yu to milta hi hazaro is duniya mein
par ek sacha dost badi mushkil se milta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rukh Badalta hai zamane ka .. har zamane mein
..........Phir bhi milta hai naame-mohabbat har bahane mein !
Shaamil agar naa ho yeh duniya phir bhi hum jiyennge..
.........Dard woh pyara hai.. hota hai jo ishq chupane mein...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hasin palo ko phirse abad kar rahe the,
Chand se aapki baat kar rahe the,
Dil ko bada sukun mila jaanke yeh,
Ke aap bhi hame yaad kar rahe the.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dard aur khushi main fark karuin itni bhi fursat nahi,
kisi ke liye jiyion aisi koi hasrat bhi nahi,
bas dohra raha huin her pal, subah, shaam aur raat,
ki zindagi phir se suru karne ki koi vajah bhi to nahi........


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tune chaha hai mujhe ye karam kya kam hai
Tu pyar karti hai mujhse ye bharam kya kam hai
Ek din ye bharam tutegaa mera
Uff kismat ka ye sitam kya kam hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kal Halki Halki Barish Thi Kal Sard Hawa Ka Ruqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray They Kal Un Main Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kaalay Gehray They Kal Chaand Pay Laakhoon Pehray They
Kuch Tukray Aap Ki Yaadoon Kay Bari Dair Say Dil Main Tehray They
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thein Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Thein
Kal Yaad Bohot Tum Aaay They Kal Yaad Bohot Tum Aaay They !!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Binaa mileey tujhsay doori kaa ehsaas sataaney laga hai,

khwabon main saath bitaaya har eik pal yaad aaney laga hai.

Bhulaa sakoon teri nazdeeki kay aagosh koo yeh mumkeen nahee,

Dil say uttar Tuu Rooh main abb samaaney lagaa hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aansu ko bohut samjhaya ke u na aaya karo
mehfil mein hamara mazak na udaya karo
iss par aansu bole
mehfil mein tumhe akela paate hain
iss liye chale aate hain....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apni hasti mita ke bhi tanha hoon,
Main sab kuch luta ke bhi tanha hoon,
Log door talak jatay hain kisi ke liye
Aur main us ke paas reh ke bhi tanha hoon...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri mohabat par aitbaar to kiya hota,
kisi aur ke hone se pehle mera intezar to kiya hota,
ulfat bhari nazron se ek bar dekha to hota,
mere zakhmo par kabhi ek bar marham to lagaya hota,
Bewafa hume kehne se pehle,
ek bar azma e wafa to kiya hota,
sab kuch bhool kar har rishta tood kar,
ek bar tahe dil se mere dil per hath to rakha hota,
Bewafa kehne se phele,
Aahed e wafa to kiya hota,
Dil e nashemaan mai jo bhi agg lagayi thi tumnne,
Ek bar use bhujaya to hota..!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

aapki judaai ka manzar lekar fir wo shaam aayi hai,
aapke aks si lagti meri parchaayi hai,
ab to thaam lo is aansu k bahte sagar ko,
maut si lagti ab to zindagi ki gahraayi hai.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

dilwalo kya dekhte ho manzar mere deewaanepan ka,
unki yaado me ab tak madhosh hua baitha hu,
kaise jeeta hu zehar judaai ka pee k,
ye jaa k kisi har din marne wale se poocho...........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jis Se Ishq-E-Dil Diya Usi Se Paraye Ho Gaye...
Phir Pal Bhar Mein Hum Jaam Ko Pyaare Ho Gaye.....
Dard Itna Mila Ke Aankhein Lahu Se Chalak Aayi......
AapKe Doli Utthi Aur Hum Gam Ke Shayar Ho Gaye..........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rukh Badalata hai zamane ka .. har zamane mein
..........Phir bhi milta hai naame-mohabbat har bahane mein !
Shaamil gar naa ho yeh duniye phir bhi hum jiyennge..
.........Dard woh pyara hai.. hota hai jo ishq chipane mein...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zubaan par kuch hai.........
Chehre par kuch aur dikha raha hai,
Dard-e-dil chupane ki acchi tarkeeb hai......
ashq nikal rahe hai aur muskurane ki koshish hai........................

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ashkon se aanchal bhigaya humne apka
khata thi hamari jo apke pyar ko samajh na sake
mohabbat toh aaj bhi karte hain aapse
magar aab bhi mohabbat jata nahi sakte

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Koi toot chuka hai kisi ki yaad mein
Kyun ab ye kisi ko bata rahe ho
Saans chale ya tham jaye meri
Kyun ab kisi ko ehsaas dila rahe ho
Mere behte ashk ko behne do
Yeh khayal na lana ke ye pani hai
Wo ise jo bhi samjhe, Samjhne do
Mere liye ab yehi Zindagani hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na samajh saka mujhe koi ye badi ajeeb baat hai
Aye zindagi tu hi bata de kyun tu itni udass hai
Hawayein bhi rukh badal chuki wo bahar bhi jati rahi
Tha hujum me main bhi kabhi par ab nahi koi pass hai
Dard beshumar hai main chahu agar to kis se kahun
Jo qareeb tha wahi door hai jo door hai wahi khass hai
Ummidein bhi jati rahi ab to us ke aane ki
Wahi khawab hai wahi zindagi jis ki mujhe talash hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aansoo ke thamne ke ab nahi hai koi aasar
Dhadkan ke rukne ka ab toh hai bas intezar
Ab toh rab se milne ko hum hai taiiyar
Jab se dil ne khoya hai aap pe aitbar

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raah me mila tha ek aansuo ka saudagar
Aur bahut khush hua tha main do boond ansu pa kar
Baad me pata chala aansuo me milawat thi
Aankho me ansu the par dil me muskurahat thi
Maine us se kaha apne do boond aansu le lo
Meri muskurahato ka kuch aaj sila de do
Aawaz aayi yaha biki hui cheez wapas nahi hoti
Aansuo ke badle kabhi muskurahat nahi milti

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Unki jahan se nirali hai ada,
Andaaz unke hain yaaron sabse judaa,
Khafa ho jaaye toh katil se kam nahin,
Meharbaan ho jaaye toh KHUDA se kam nahin........


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
GOLDEN WORDS

maut se apna wada hai ke aa jaana jab jee chahe
abhi kuchh pal aur unki yaad me ro lene de mujhe

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Your's Shayar

RAHUL