Wednesday, February 4, 2009

Sad Shayari


ĎĨĹ ŔŐŶĔ ŶÁ ĔĹÁĤĨ ŤÚ ÁĴÁ MĔŔĔ MÁÁĤĨ

**************************************************************

Kaise mujhe TUM milgaye...Qismat pe aaye na yakeen...
Uthar aayi jil me...Jaise chaand utarta hai kabhi hole hole dheere se...
Gunguni dhoop ki tarah se tarannum mein tum, Chhookey mujhe Guzri ho yun...
Dekho tumhe yah me sunoo...Tum ho sukoon TUM ho junoon...Kyo pehle na aayi TUM...
Kaise mujhe TUM milgaye...Qismat pe aaye na yakeen...
Main to ye sochta tha ke aaj kal, Upar wale ko fursat nahi...
Phir bhi tumhe banake woh, Meri nazar mein chadh gaya...
Rutbe mein woh aur badh gaya...
Badle raaste, jharne aur nadi...Badli deep ki tim tim...
Chede zindagi dhoon koy nahi badle barka ke rim jhim...
Badlengi rituyen adaa, Par main rahoongi sada...
Usi tarah teri bahon mein bahen daalke...
Har lamha Har pal...
Zindagi Sitar hogay...Rim jhim malhaar hogayi...
Mujhe aata nahin qismat pe aapne yakeen kaise mujhko mili TUM...

**************************************************************

Lab pe ati hai dua ban k tamnna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

dur duniya ka mere dam se andhera ho jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat

zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

ho mera kam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

mere Allah burai se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko

**************************************************************

Pyaar Kehtey Hain Aise Jazbey Ko,
Dard Me Doob Kar Sambhlane Ko,
Kisi Ki Yaadon Me Beqrar Hone Ko,
Raat Bhar Karvatein Badalne Ko,
Un Ke Chehre Ki Ek Hassi Ke Liye,
Jaano Dil Un Pe Nishar Karne Ko.


**************************************************************

mohabbat har janwa dil ka armaan hai,
ye ehsaas khushnuma hai,badhta khumar bhi,

ajeeb si bechaini hai or pyara sukun bhi,
bekarari ka aalam bhi hai, dil ka karaar bhi,

khushiyon ke gulshan bhi kanto k haar bhi,
pyar me milte hain gham beshumar bhi,

milan ki esi khushi jo bayan na ho sake,
kabhi bankar reh jaye sirf intzaar bhi,

wafa jo mile to khabo ki duniya basa de,
bewafai mile to ujad jaye sansaar bhi,

ek gehra jakhm or har dard ki dawa,
ek esi chot jo kar de dil taar taar bhi,

mohabbat me mile jakhm mohabbat se hi bharte hai,
tabhi to dil toot jane par bhi log pyaar karte hai

**************************************************************

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shaairi se shaghaf
So hum bhi moejezay apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu theher ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyaah chashmgi qayaamat hai
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamsaal hai jabee.n us ki
Jo saada dil hain usay ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
Keh phool apni qabaayen katar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
Makee.n udher ke bhi jalvay idher ke dekhtay hain

Rukay to gardishain us ka tavvaaf karti hain
Chalay to us ko zamaanay theher ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaakulain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaaj aur he laal-o-gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhtay hain

Vo sarvqad hai magar be-gul-e-muraad nahin
Keh us shajar pe shagoofay samar ke dekhtay hain

Bus ik nigaah se loota hai qaafla dil ka
So raah ravaan-e-tamanna bhi darr ke dekhtay hain

Kahaaniyaan he sahi sab mubaalghay he sahi
Agar vo khaab hai tabeer kar ke dekhtay hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jaayen
Faraaz aao sitaaray safar ke dekhtay hain

**************************************************************

Kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.

**************************************************************

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......

**************************************************************

Khawab Ankhon Se Beh Gaye
Hum Sochte Hi Reh Gaye
Jinko Chaha Maine Umer Bhar Ke Liye
Dekhiye Humse Kya Keh Gaye
Mere Bus Main Nahi Tumko Pyar Karna
Kya Maine Kaha Tha Mera Intezar Karna
Aapne Hathon Ki Lakeeron Se Meri Taqdeer Mita Gaye
Do Gadhi Ki Mulakaat Main Woh Kitne Ranjo Alam De Gaye

**************************************************************

Surkh gulab ke sare mausam ter naam
Har subha ka pehla hjala tere naam
Teri yaad ka Beehta darya mary liye
Behti jheel main pholl kANWAL ka tere naam
Jitnay Khawab Khuda ney mary naam likhay
Un khawabon ka lambha lambha tere naam
Teer bina jo umer beet gai
Ab es umer ka baqi hissa tere naam

**************************************************************

Meri khamoshi thi jo seh gayi,
Uski hi yaadain Abb dil mai reh gayi,
Shayad uski bhi thi koi Majburi,
Jo Ajj Meri Kahani Aadhuri reh gayi..

**************************************************************

Dil ki dhadkano ko ek lamha sabar nahi,
Shayed ke usko ab meri qadar nahi,
Har safar main kabhi humsafar tha wo,
Abb safar to hai magar wo HAMSAFAR nahi.

**************************************************************

Tu kyaa jaane main khudaa se kya maangta hoon
teriii salaamti kee rozz duaaa chahtaa hoon

agarr anjaane main ho jaaye koi khaata humse
rooth naa jaanaaa teraa sahaaraa maangtaa hoon main.

agarr aaa jaaye koi pareshani koii takleef karey Hairaan
Mere haq main Teri takleef ho yeh dua maangtaa hoon main.

Yaa Rabb mehbooob mere ko door rakhna ghamon se
Raat din tere saare ghamon ki saugaat chahtaa hoon main.

Tu ho kaamaayaab ho har khwaaaissh poori terii
mere hisse ki bhi khushi ho terii yeh vardaan maangtaa hoon main.

**************************************************************

Tute hue dil bhi kabhi judtey hoNge,
Be-wafa bhi kabhi wafa karety hoNge,

Gum nahi jo mujhe bhool gaye woh,
Baad mere kisi aur ko yaad kartey hoNge,

Phool to shamshan.o mein bhi khiltey hoNge,
Magar mahke bina hi murja jatey hoNge,

Chorr apna desh jo ja base haiN pardes,
Unhey apne kaha begane hi miltey hoNge,

Loot ke le jaye jab koi neend ankho.n se,
Phir anko.n mein khaab kaha paltey hoNge,

Kabhi na socha tha zindgi ke safar mein,
Mujse juda kabhi uske rastey hoNge,

Hanstey muskuratey chehro.n mein,
Dard chup chup kar kahi paltey hoNge.

**************************************************************

Mager Ye Waqt Ne Batlaya
Jo Tujh Ko Bhool Jaye Ga
Ek Roz Uspe Pe Bhi Kabhi
Ye Waqt To Aye Ga.

Tu Usko Yaad Aye Ga.
Bouhat Uss Ko Rulaye Ga.
Han !
Ek Roz To Eesa Bhi Waqt
Aa Hi Jaye Ga.
Faqt Wo Pachtaega.
Faqt Wo Pachtaega


**************************************************************


Iss Dard k Baad Koi Dard Dard NAhi Legta
K Shidat-e-Dard Ki Inthia Hoti hai Mohabbat
Nahi Uththi Wo AAnkahin Phir kisi Pe
K Jin Aankhon Mein Fana Hoti hai Mohabbat
Umer Bher Jinka Aazala Na Ker Paain
Bas Aik Aesi Hee Khata Hoti Hai Mohabbat
Jo Mil Jaye To Phir Bas Kia Kehna
Werna AIk Musalsel Saza Hoti Hai Mohabbat
Log Mujhse Her Baar Yehi Pochte Hain
Tum Ne Uss Mein Dekha Kia?
Mein Her Baar Yehi Kehta Hon
Bewajah Hoti Hai Mohabbat

**************************************************************

Soye jis raat ko hum,hijr mein rote rote
Khwab mein wasl huya ,subah ko hote hote

shama ki tarah se hum raat ko rote rote
Beh gai ansuon mein , subah ke hote hote

Jiske milney ki tammana thi,na paya usko
Ho gai umr bsar , jaan ko khotey khotey ..

**************************************************************

khushi mil na saki lakh muskura ke hare,
wo hamare ho na sake apna bana ke hare,
roshni ke ek katre ko taras ke reh gaye ham,
ujala ho na saka dil jala jala ke hare............

**************************************************************


Kaash kismat hamara saat deti
mohabbat mai hameh har kushi dikaati
jho haal hai aaj usseh kahi kush hum rehteh
woh agar saat hoteh tho kuch gham na sehteh

**************************************************************

Kal raat sapno mein aapki tasveer bana dali
dil ko itni acchi lagi ke seene se laga dali
kisi ki nazar na lage,
iss liye aansuo se mita dali..

**************************************************************


humne guzare hain din ghadi dekh dekh kar
kaate hain raatein taare gin gin kar
doston ne socha kuch kaam mein hain
humne kaha kisi ki intezaar mein hain
din raat guzar rahe par aankhen thakti nahi
jitni bhi baat ho unse pyaas bhujti nahi

**************************************************************

tum na jano chah ke tumhe, humhe huwa hai kya
hum pe beeta hai kya, humne khoya hai kya
dekhne ke liye tumhe ek nazar main marjao
marke bhi mein tumhe bhool na pao

**************************************************************

kiridaar badal gaye ab badle si yeh kahani hain
zindagi mein mithhas thi ab zeher ki pani hain
mere zakhmo par marham na lagaao,
mere paas bus yahi ek uske pyar ki nishani hai

**************************************************************

Umeed Nahi Rahi Ab Une Apna Banane Ki
Na Chahat Rahi Ab Bechare Dil Ku Satane Ki
Mohabbat Se Harke, Yeh Har Apnaaliya Hai
Taqdeer Ku Mante Hui, Yeh Arman Jaladiya Hai
Aap Sirf Kush Rahe Yehi Dua Hai Meri
Kabhi Aasu Nah Dikeh Mujhe Aankon Mai Teri

**************************************************************

Raaton Ko Uth Uth Kar_Jinke Liye Rote Hain
Wo Aapni Makanon Mein_Aaram Se Sote Hain

Kuch Log Zamane Mein_Aise Bhi Tou Hote Hain
Mehfil Mein Tou Hashte Hain_Tanhaai Mein Rote Hain

Deewanon Ki Duniya Ka_Aalam Hi Nirala Hain
Hashte Hain Tou Hashte Hain_Rote Hain Tou Rote Hain

Kis Baat Ka Rona Hain_Kis Baat Pe Rote Hain
Kashti Ke Muhafeez Hi_Kashti Ko Dubote Hain

Kuch Aise Deewane Hain_Suraj Ko Pakadte Hain
Kuch Log Umr Sari_Andhera Hi Dhote Hain

Jab Thesh Lagi Dil Par_Tou Raaz Khula Ham Par
Wo Baat Nahin Karte_Nashtar Se Chubhote Hain

Mere Dard Ke Tukde Hain_Ye Sher Nahin
Ham Saans Ke Dhagon Mein_Zakhmon Ko Peerote Hain

Raaton Ko Uth Uth Kar_Jinke Liye Rote Hain
Wo Aapni Shabistar Mein_Aaram Se Sote HaiN..........

**************************************************************

hameh intezaar hai unka yeh uneh kabr hi nahi
agaar woh hameh naah miley tho hameh maut hi sahi
jeekai kareh kya marke sukoon tho paaunga
unkeh ek pukaar pe maut se bhi laut aaunga
unse judaa rehna utni himaat mujmai hai nahi
Kismat ne yehi lika tho yehi sahi

**************************************************************

Har subeh ummed karte ki din ho nayaa
Phir dhokah khaa jaate hai teri yaad phir ajaa thi hai
din tho nayaa dil hi puraana teri Khayaal mai
Thak tah nahi yeh kambaqt terai intezaar mai

**************************************************************

Nazro ko kya kahe,kisi bhi waqt ye lad jaati hai,
kasoor hota hai inka aur saza dil ko mil jaati hai,
bechain rahta hai dil kuki neend nazro se nazar churati hai,
rota hai bechara dil aur nami nazro me chhalak aati hai..

**************************************************************

Kahte kabhi jo log ynu he,ki ab vo zamana nahi,
dard me jo kaam aaye,ab aisi dosti hai he nahi,
rakha nahi ittefaq,unki in baato se hamne kabhi,
par aj ye ahsaas hai ki,sach he kahte hai sabhi,
likhte hai apne dard ko,jo shayari bana k ham kabhi,
karte hai VAH-VAH uspar dost mere aur kuch ajnabi,
samjhe to hai vo shayari,par samjhe nahi mera dard kabhi,
VAH-VAH na kijiye dost mere,jalta hai ye dil ab bhi kabhi-kabhi..

**************************************************************

Mera dard vahi,meri dava bhi vahi,
dosto ja k unhe dhoondho to kahi,
mil jaaye agar to kismat hai meri,
varna maut se baddtar zindgi meri....

**************************************************************

Dil To Miltey Hai,dil-e-betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley,vo Aaftaab Nahi Milta
Gam-e- Ishq Choopane Ko Naqaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta..

**************************************************************

Yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai...

**************************************************************

Dil-e-ghamzada ko sataoge kya tum,
Mujhe baar-baar aazmaoge kya tum

Gham-e-zindagi, zindagi ban chuka hai,
Rula ker mujhe ab hasaogey kya tum...

Apne dard ko dikhana chaha,to ajnabiyo ki tarah aankhe mod li,
paas rahne k liye unke,ek baar phir hamne muskurahat ki chadar oodh li...

Hum Dard ke Maron ka, Itnaa Hi Fasanaa Hai.
Peene ko Sharab-e-Ghum, Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilona Hai, Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai, Jeene ka Bahanaa Hai...

**************************************************************


Majburi ko meri aaj,fitrat karar kar diya,
bekhabar ne hame zinda he,khatm kar diya,
ek aas thi ki kabhi samjhenge meri mohabbat,
sapna to toota he,aaj dil bhi mera tod diya..

**************************************************************

Majboori kay mausam main yun hee jee laitey hain
terii yaadon main aaj bhee aankhen numm kar laitey hain.
yeh tohfaaa milaaaa hamey ishqq kay samunder main.
qatra qatra pighaal, yun muskuraa kay jee laitey hain.

**************************************************************

Mere marne se pahle aur tere dur jane ke baad,
itni shiddat se kia mere khuda ko maine yaad,
mangi duaa ki tu bhi ho jaye barbaad,
par har gam tujh tak pahuche,mujhse guzarne k baad.

**************************************************************

Is kadar ishq me dard paya hai,
ki ab ahsas he kuch nahi hota,
maut bhi aai lene to,boli
ab le k tujhme jaye bhi to kya..

**************************************************************

Phool pyaar k murjha gaye ab kya raha baki,
Bas yaado k nashtar reh gaye ab kya raha baki,
Dil to mene unhe pehle hi de diya ,
Meri jaan bhi wo le gaye ab kya raha baki………

**************************************************************

Uss ko mera halka sa ehsaas to hai
Be dard sahi woh mera humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
Shiddat se mujhe us ka intezaar to hai...

**************************************************************

na rone ka unse vada to kiya tha,
fir bhi judai me unki barasti hain aankhe,
na milne ka unse irada to kiya tha,
par deedar ko unke tarasti hain aankhe..............

**************************************************************

Agar hum royen bhi aankhen hamari num nahin hoti
Ki hum apni mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay
itna bataa do Duniya walon ko
Mohabbat karne waale pyaar ka sauda nahin karte...

**************************************************************

Ghamo ki Gehrai me Doob sa Gaya hun me,
kisi ki judai se toot sa Gaya hun me
Zindagi se ab koi shikva nahi mujhko,
apne aapse hi ruth sa Gaya hun me...

**************************************************************

Aaina samajh kar Tumne mera Dil to yuhi tod diya,
Aaine aur Dil me to bada farq hota hai.
Aaine phir bhi aur mil jayenge,
lekin Tuta hua Dil Humara phir se kabhi jud na payega...

**************************************************************


tum sirf khud ko tanha mahsus karte ho
tanha logon se abhi mile nahi ho shayad,
ik baar zindgi se ru-b-ru hokar to dekho
zindgi sikha degi ke tanhai kya hoti hai

**************************************************************
**************************************************************
**************************************************************

Tere Naam ZIndagi



**************************************************************
**************************************************************
**************************************************************