Thursday, September 20, 2007

Ghazal Shayari



Nisha k Nishaan iss Dil per Nazar aate hain !

Nisha k jaate hi Logon k Chehrey badal jaate hain

""!!""Nisha mein Chehrey or, or Sehra mein or Nazar aate hain !

Heraan hain dekh ker Rang Duniya k iss Aalam mein"" !

!""Kaise be-khubi sy Rang badal jaate hain ""!!""

Jatlaate hain Her ek Apna hone ka Ehsaas!

Kuch dur ly jaaker Lehron mein Dubney k liye chhor jaate hain ""!!

"" Nisha k Nishaan iss Dil per Nazar aate hain !

Nisha k jaate hi Logon k Chehre badal jaate hain ""!!





Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyar Mila He
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa Tou Dosra Tayar Mila He
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila he
Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya
Gham nahi mujhe ke Dushman howa yeh zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hai
....................................................................................................

Ankho me kyon badal ban kar yad tumhari aati hai,

Dil ke falak par jaise koi barak si lahra jati hai,


Jakhm hara kar jati hai e bade saba kyon sawan ki,

Dard badha kar mere dil ka ghata eh kyon muskati hai,
Kabhi eh moti ankhon wale,Jalan jigar ki kabhi-kabhi,

Aahen man ki, kyon ruk-ruk kar tumko roj bulati hai,
Kabhi dhoop ban shaya ban fir ek oh bholi si ladki,

Larjees si yun sine zigar me dhadkan kyon badh jati hai,
Ankhe hai Aahu si jiski chal morni jaisi hai,

Mere man par gam ke badal oh kitna eetarati hai,
Tujhe mubarak teri khusiyan mai to jee hi leta hun,

Tere sang jine ki khwahis meri umra badhati hai,
Gar na raha kal iss duniya me aansu ban kar aaunga,

Door se tujhko dekhunga e man ki lagan batati hai,
Tu apni mahfil me khush hai mere gam ka raj yahan,

Koee kare na pyar kabhi, Harjayee bahut rulati hai,
Ankho me kyon badal ban kar yad tumhari Aati hai,

Dil ke falak par jaise koi barak si lahra jati hai

......................................................................................................................

Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo

Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila

Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki,

urnay ki koshish kar to lee Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Main ne poocha zindagi se ishq ka anjaam

to keh gai hai kaam main ruswai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar

De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
..............................................................................................................................


Socha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi manga
khuda sai raaat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja

tujhey meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh nai mooti bhichaye

raat bhar bheja wohi khaghaz usai hum nai

likha kuch bhi nahi ik shaaam kai saye talay

bhetai rahay woh dair tak ankhoo sai ki baat boohat

moun sai kaha kuch bhi nahi ihsaas ki khushboo

kaha awaz kai jugnoo kaha khamoosh

yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga

jub agg per khaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi
.........................................................

Shabnami Raat suhaani hai, laut aao!
Aik ghazal tum ko sunaani hai, laut aao!

Phir nayaa khwaab daikhna hai seher honay tak,

Phir nayee shamaa jalaani hai, laut aao!

Naa main barbaad hui hoon,

naa ruswaa tum, Naa-mukammal ye kahaani hai, laut aao!

Tum se mil kar he main bicchrroon,

koi laaz'mi to nahi,



Phir bhi ek rasm nibhaani hai, Laut Aao...! !!
........................................................

Jidhar bhi dekhta hoon tanhaai nazar aati hai

aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se

huzoor aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine

meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai

asar karta yakeenan gar chhoo jaata unke dil ko

lekin afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar

ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana ho

gaunke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai...
..........................................................

Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya...
Mein Ne Kaha Husn Bhi Tum Se Mukar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Tujh Ko Deelani Hein Choriyaan...

Mein Ne Kaha Ke Aab Woh Zamana Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Howi Kajal Ki Dhaar Si...

Mein Ne Kaha Ke Aankh Se Darya Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Yeh Teri Chiryoon*

Se Dosti...Mein Ne Kaha Ke Dil Mera Duniya Se Bhar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Mila Sab Se Big'aar Ke...

Mein Ne Kaha Ke Waqt To Aacha Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Khwab Mein Aane Ka Waqt Do...

Mein Ne Kaha Ke Neend Ka Mosaam Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Tere Suraj Ka Kya Bana...

Mein Ne Kaha Ke Woh Mere Dil Mein Utar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Nahi Dega Tumhara Saath...

Mein Ne Kaha Ke Woh Chalo Wada To Kar Gaya...Akhir Ko Tang Aake Kahi Us Ne Itni Baat "FAHAD"Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya
...........................................................................................................................

Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umer yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo,

mil ke muskura denakhushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai.

Mujhe bahaar ke mausam se nahi

kuch Lenatumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai.

Yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?

Musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai
.....................................................

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat,

kehney doBuhat bawafa ho tum,

yeh ham ko hai maloomTum apni wafa ki baat,

apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad

Bas dukh hi seh rahein hein,

hamein sehney doTum ney to keh dala sab haal-e-dil apna

Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye mainTum apni khatir ham ko Zinda rehney do..
............................................................

Ae dil, tu mohabbat karta kyun hai..?

jo karta hai to phir tadapta kyun hai..?

Main dhadkan hun uske dil ki,

kehta tha mujhse,phir aaj uska dil mere bina dhadakta kyun hai...??
Tere Naam



No comments: