Tuesday, September 25, 2007

Dard - e - Dil


Agar aapke dil ka mere dil se nahi hai koi RISHTA,
to aapaka dil mere seene me dhadkata kyu hai,
dard to aapne meetha hi diya hai dil ko,
lekin ye khara pani aakhon se chhalkta kyo hai,
jamin me kuchh nami si thi, foolo ke aanchal me,kuchh kami si thi.
Meri muhabbat thukara kar jane wale
ye to bata de meri mohabbat me kami kya thi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

hote hai kaise bedard log jahan me ab humne ye jana hai,
kaise hasake rulate hai kisiko ye ab kisine sikhaya hai,
ab kisi pe eitbar karna mushkil ho gaya,
itna dil ko kisine rulaya hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum se door hota gaya har mukaam yaro,
Aansuon mein beh gayi meri har shaam yaro...
Mita di zindagi jiske liye..
Usi ne kiya mujhe badnaam yaro ..

Ab toh hasrat bhi aur jine ki na rahi..
Zindagi ho gayi gumnaam yaro..
Jise bhi apnaya vo dhookhebaaz nikla..
Meri hasti vi ho gayi, Ab nilaam yaro..

Mar-mar ke ji raha hoon gumon mein ....
De raha hun aansuon se, mohbbat ke daam yaroo...
Dard ki cheekh hi aati hai mere ghar se...
Yeh mera ghar hai, Ya shamshaan yaroo...

Jiske liye gavaa di tamaam zindagi...
Unsi ne diyaa dard-e-dil , mohbaat mein inaam yaaro...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

kyun tanhaee mein bhi tanhaee nahin
kyun aasmaan mein koi badal nahin
kyun mehfil mein shama bhuj gayee hai
kyun har rang mein koi rang nahin

kyun aate hain yoon aansoon bin kahe
kyun aati hain ye yaadein bin kahe
kyun dikhta hai har cehre mein tera cehra
kyun nahin tanha mein tanha ho kar bhi

kyun aankh mein aansoon hai
kyun is dil mein dard hai
kyun bhoolne ke baad bhi yaad hai
kyun tumse itni mohabbat hai


kyun har saans ek saza bangayee hai
kyun har lamha ek saza bangayee hai
kyun har pal aap jeena mushkil hai
kyun nahin maut hai maut ke baad

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

is dil ke dard ko sehna ab mere bas me nahi........
tujhse juda hokar mujhe kuchh chain nahi.........
teri yaad to pal pal mere dil ko sataayi.........
magar nahi bhul sakta ki tune hi ki hai
mujhse bewafai..........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohhbat Mein Dub Jane Ko Kehte Hai......
Andheron Mein Ghar Banane Ko Kehte Hain....

Kaun Chahta Hai Dard-e-gum Mein Jina.......
Dard Bhare Dil Ko Bhi Log, Muskarane Ko Kehte Hai.....

Samander Mein Kasti , Aur Kinara Nahin Dikhta.....
Mere Apne Hi Mujhe ,lehron Mein Beh Jane Ko Kehte Hain.......

Mar Gaya Dub Ke Lehron Mein Yaroo.......
Apne Hi Mujhe Ab Dafnaane Ko Kehte Hain......

Jo Rahtaa Tha Shayar Mere Dil Ke Ek Kone Mein ..........
Yeh Duniya Wale Usey Bhi Jalane Ko Kehte Hai.......

Yeh Sher Nahi Dastan-e-dard Hai ........
Ab Toh Meri Har Dastan Mitane Ko Kehte Hain ..........

Mita Di Hasti Jiske Naam Pe Humne ........
Haste Haste Vo Bhi Mere Pyar Ki Shama Bhujane Ko Kehte Hain...


Deko Mujhe Log Muskarane Ko Kehte Hain...............

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"Karoge yaad ek din iss pyaar ke deewane ko....
chale jayenge jab hum vapas na aane ko,
Chalega jab mehfil mein zikr hamara koi....
tum bhi tanhai dhoondoge aansu bahane ko."


khamoshi saja hai,
Kahin pe dillagi hai yeh kahin khuda hai,
Unse acchi hai Khamoshi yaaro ,
Jahan mehboob ke saath hokar bhi Mahboob hum se juda hai............

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere mohabbat ki tauheen karta hai zamaana...
Kehkar ye ke mein hoon sirf tere husn ka deewana !

Mein to un masoom khaton se hua hoon aashiq tera...
Jo bayan karta hain humare pyaar ka afsaana !

Tuje bas ek bar dekhne ki dil mein ayee hai tamanna...
Tere husn ki gawahi jo de raha hai zamaana !

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

who's online

No comments: