Monday, August 13, 2007

Serious shayari


Rehne walo se nhi,
Jane walo se pucho ki zindgi kya chiz hoti hai.
Pane Walo se nahi,
khone Walo se pucho ki Izzat kya chiz hoti hai.
Amiron ko kya dekhte ho.
Zra garibon se pucho ki daulat kya chiz hoti hai.
Arre Jis ne dil diya hai usse Nahi,
Jiska dil tuta hai usse pucho ki Mohobbat kya chiz hoti hai.

Na dil se hota hai, na
dimaag se hota hai,
yeh pyaar to ittefaq se hota hai.
Par pyaar karke pyaar hi mile,
ye ittefaq kisi kisi ke sath hota hai.
Pyar mein maut se darta kaun hai ?
Ho jata hai pyar karta kaun hai?
Hum kar sakte hai un par duniya qurban,
par wohi puchte hai k un par marta kaun hai?
Unki mohabat ka nishan baki hai,
naam labon pe aur jaan baki hai.
Kya hua agar dekhkar muh fer lete hai,
tassali hai k "HAMARI" shakal ki pehchan to baki hai.

Kitna tadpya hai shayad tujhko ye ehsas nahi,
ek gam or bhi hai tu mere pass nahi ,
bahut dil bahlaya hai tune apna mere dil se khel ke
magr tujhe sochna tha wo dil hai mera koi lash nahi ...

Ishq karte the hum Logo ne nafrat karna sikhadiya,
Jis chehre ko dekh kar haste theUsne rona sikhadiya
Hum to marna chahte the
Maut k intezar ne jina sikhadiya.

Ae Shaam! Tujh pe jis tarah ye raat bhari hai,
Humne to is tarah sari umar gujari hai,
Humne jise b chaha apne pure dil se,
Unhe chod k sari duniya humari hai.

Majburian hmari wo "jaan" na sake,
Guzarishen hamari wo maan na sake,
Kahte hai k hume marne ke baad bi yaad rakhenge,
Jeete ji hume jo kabhi pehchaan na sake.

Har ek lamha par tera naam aata hai,
Teri yaad ka bhanvar subh sham aata hai.
Gujar rahi umar tere intzar mein,
Na tu aati hai na tera pegaam aata hai

Badi ajeeb si ye dil ki chahat hoti hai,
buri kisi se dil ki lagawat hoti hai,
beshak wo dur hai nighaon se hamari,
par mehsus aaj b tanhai me unki ahat hoti hai.

Woh dhundhte rahe hume dagar dagar;
shayad unhey humari talash thi, par
afsos jis kabar per they kadam unke
ussi mein humari laash thi.....

Ankhon me kyon aansu jhalak jate hai,
Tanhaiyon me kyu gham yaad ate hai,
Aansu ponchkar koi ye bata de hame,
jo hamare sath nahi wohi aksar kyu yaad ate hain.

Ishq dariya hai jiska sahil nhi hota,
Har dil mahobat k kabil nhi hota.
Rota wo bhi hai jo duba ishq-e-sagar me or
Rota wo bhi hai jise ishq hasil nhi hota.

Dard ko na dekhiye dard se,
dard ko bhi dard hota hai,
dard ko bhi zaroorat hai pyaar ki,
aakhir pyaar mein dard hi toh humdard hota hai...".

Pyar mein stana koi Unse seekhe,
intzar krwana koi Unse seekhe,
har pal Unki rahon mein palkein bichhai hai Humne,
par bina dekhe guzar jana koi Unse seekhe..

Aankhen apki ho, par ansu mere,
Zindagi apki ho, par sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
Zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi,
Kafan apka ho, aur maut meri.

Yaado Ki Kimat Wo Kya Jane
Jo Khud Hi Yado Ko Mita Diya Karte Hai.
Yado Ka Matlab To Unse Pucho
Jo Yado Ke Sahare Jindagi Beeta Diya Karte Hai..

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din raat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata......
Jahan baith kar un ka intezaar kiya karte the

Waise shayri pyar main padne walo ki virasat to nahin ,
tute dil walo ki ibadat to nahin,
isse dil koi bhi laga sakta hain
jisse doosro ki aankhon main dard dekhne ki aadat nahin

Dard-e-dil ko mitana chaahata hoon..
Andheronn mein ghar basana chaahata hoon..
Yaadein ton yahan bhi na jeene dengi mujhe...
Kyun main khud-ko-khud se hi, chupana chaahta hon...

Viraano mein hai apnaa pan sa yaaro...
Main viraano ko gale lagna chahata hoon..
Ik pyaas hai adhuri si dil mein...
Us pyaas ko aansun se bhujhaana chata hoon..

Usika ka intzaar hai aaj bhi ....
Jise ko yaaro ,din raat bhulaana chahta hoon..
thak gaya hun is kadar gumon se ...
ke Ab toh kabar mein janaa chahta hoon...

[ar<] Itna dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain, Hosh gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain, Humne to tumhare siwa duniya bhi nahi dekhi, Aaj bhari duniyan mein tanha nazar aa rahe hain Intzaar Tha Jiska Vo Zamana Na Aya, Roothe wo Is Tarah Humein Ki Manana Na Aya, wo Door Jaane Ke Liye Karte Rahe Bhaane Pe Bhaane..... Par Hum They Naa Daan Ke Humein Paas Bulana Na Aaya ... Rote Rahe Khusiyon Mein Bhi Dard-e-dil Ki Duhayai De Ke ... Par Kisi Apne Ko Humein Ek Pal Ke Liye Hasana Na Aya..... Kareeb aakar hum dono dur itne kyon ho gaye Pal bhar mein hi sapne tut ke kyon tinko mein bikhar gaye Teri maujidgi ke ehsaas to ab tanhayion mein hota hai Jab bheegi palkein tumhare chale jaane ka ehsaas dila jaati hai Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,

Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya


Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindgi bedard ho gayi yaaron,
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron!


Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bi Tadapne Ke Liye Zindagi De di


Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin


Yeh duniyawale bhi bade ajeeb hai.
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai
Dard na bataye to hame kayar kehte hai
Aur dard bata de to hame shayar kehte hai


Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha


Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala


Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga


Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain


Bahut udas hai koi tere jane se,
Ho sake to laut aa kisi bahane se,
Tu lakh khafa sahi magar ek baar to dekh,
Koi toot gaya hai tere chale jane se.



gujarte hai meri saaso me tera naam aaj bhi,
dhalti hai tere intezar me meri shaam aaj bhi,
tujko mujh se bichde zamana ho gaya,
magar hoti hai tere naam se meri pahchan aaj bhi


Dil ko adat si ho gayi hai chhot khane ki,
bhigi palko k sang muskurane ki,
kash anjam hum pehle se jaan jate,
to koshish bhi na karte dil lagane ki.....


Haqiqat pehchaan lo bichard jane se pehle,
meri sunlo apne sunane se pheele.
ye soch lena bhulane se pehle,
bahut royi hai ye aankhe muskurane se phele....... ..


TERI BEWAFA HONE KA SUBHAH THA MUJHE,
PAR BEHAYA BHI HAI ISH-SE HUM ANJAAN THE.
TERI BHOLI SURAT PE KAI BAAR QURBAAN HUYE HUM,
SHAYAD DIL MASOOM THA HUM NADAN THE.


TANHAYI MEIN BAITHE HUE JAB SOCHTA HOON KUCHH LIKHUN,
TAB GAMON KI DHAARA SAMNE SE GUJAR JATI HAI.
KHUSHI KE DO LABZ BHI ZUBAN TAK NAHIN AATE,
KAVITA MERI DUKHON KE SABDON SE BHAR JATI HAI.


MAUT HI BAS EK ZINDAGI KA HUMSAFAR HAI !
AAJ WOH TERE PICHHE HAI KAL TERE SAMNE HOGA !!
ROOH SE JUDI TERI YE ZINDAGI KA SAFAR HAI !
AAJ WOH TERE SAATH HAI KAL TUJHSE DUR HOGA !!


aaj hum unhe bewafa bata k aaye hai,
unke diye hue khat paani me baha k aaye hai,
koi nikaal k padd na le, is liye
paani me bhi aag laga kar aaye hai. ...


Lehro se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko
hoto se na woh keh sake na hum…


Kafan na pahnao meri chehre ko,

mujhe aadat he muskurane ki,
na dafnaao meri lash ko,
mujhe umeed hia uske aane ki.......



.......... Dard Ko Khaan Chupayein Yaaro Ab Toh Kalam Bhi Thak Si Gayi Hai ....

Zindagi Tere Naam




2 comments:

Anonymous said...

Awesome

Anonymous said...

Some more stuff plzz