Monday, August 13, 2007

My Shayari collection

Har aahat pe teri talaash hai,
dur hokar bhi tu mere paas hai,
na yaad karo hame itna k dil
mujhse puche dhadkan kiske paas hai...

Hoton pe hasi khili thi ,
Ankhon mein dard soya tha ,
Par is bedard jahan ko kya maloom ki
yeh hasne wala bhi kabhi roya tha......!

Tanhai ka yeh alam hai,
ke rone ko dil karta hai,
ro kar thak jate hai to marne ko dil karta hai,
lekin mare bhi toh kaise,
kisi ke liye jeene ko dil karta hai.

Hume kya malum, dard kya hai,
hum to nashe me chur rehte hai,
log puchhte hai tumhe dard kyu nahi,
hum kehte hai, hum ishq se door rehte hai.

Katra-katra behte hai ansu
aur hum unhe sukha bhi na ske
is se badi wafa ki saza kya hogi.
wo roye mujhse lipatkar kisi aur ke liye
or hum mana bhi na sake..

Kaash hum bhi kisi ankh ke noor hote,
kisi ke dil ka suroor hote,
Agar banaane wale ne hamain b khubsoorat banaya hota,
To hum bhi kisi na kisi ke katil jaroor hote.

Ishq ne insan ko kya se kya bna diya
kisi ko kavi to kisi ko sharabi bna diya
do pholon ka boj na utha sakti thi MUMTAJ
aur shahjahan ne us par TAJMAHAL bna diya

Apno ko jab apne kho dete hian,
tanhaiyo me wo bhi ro dete han,
kyu in palko par bithathe he log unko,
jo in palko ko aksar ansuon se bhigo dete han.


Bheeg jati hain palke tanhai me,
Darte hain koi jan na le,
Tabhi to ham chalte hain barish me,
Taki rote hue hame koi pahechan na le

Aab woh munzir na woh chahray hi nazar aatye hain
Mujh ko maloom na tha khawab bhi mit jatay hain
Janey kis hal main hum hain kay humain dekh kay sab
Ek pal kay liye ruktay hain guzar jaty hain

Khuda kisi ko kisi pe fida na kare,
Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein,
Lekin jee bhi to nahi pata tanhai me

Samjte hai wo k pathar hai hum,
unko thokar maar jaenge,
woh bewafa ek baar keh de nafrat hai hamse,
khuda kasam pathar to kya,
phool bankar b raah mei nahi aenge.

Hum khamosh the toh mazboor samaz liya,
hum chup the toh guroor samaz liya,
bas yahi galti thi apki, itne karib the apke,
phir bhi hume dur samaz liya.......,,

Sacha pyar kabhi nahin milta zindagi main,
phir bhi hum jaise pagal pyar kiya karte hain,
wo kabhi to hume pyar karenge,
Bas isi baat ka intezaar kiya karte hain.

Pyar ke ujale main gum ka andhera kyun ata hai,
jise hum chahe wohi kyun rulata hai,
agar woh mera nasib nahin,
toh khuda aise logo se mujhe kyun milata hai.

Aaj khuda ne phir pucha,
Tera hasta chehra udas kyun hai ?
Teri aankhon main pyaas kyun hai ?
Jinke pas tere liye waqt nahin hai,
woh tere liye khas kyun hai...?

Haskar woh gum ki saza deta hain,
Zeher main thoda sa pyar mila dete hain,
Jab bhi naam ata hai unke deewano ka,
Log meri taraf ungliyan utha dete hain.

Choti choti baaton pe takrar mat kiya karo,
hamari hassi mazak ko dil pe mat liya karo,
kya pata saath hai aur kitne din ka,
in palon ko toh kushi se liya karo.

Koi achha lage toh usey pyar mat karna,
uske liye apni neendein haram mat karna,
2 din toh aayenge kushi se milne,
tisre din kahenge mera intezzar mat karna.

Khyalon mein aata hai jab chehra uska,
to labon pe aksar faryaad aati hai,
hum bhul jaate hai uski bewafai,
jab uski be intehaa mohabbat yaad aati hai...!

Unki galiyo se jb guzre to manzr ajib tha,
dard tha magar wo dil k karib tha,
jise dhundte the hum hatho ki lakiro me,
wo kisi dusre ki kismat,kisi or ka nasib tha!

Vaada toh kar lete hain,
Nibhana bhool jate hain,
laga kar aag bhujana bhul jate hain,
Bhulna toh aadat ho gayi hai logo ki,
Rulate hain or phir manana bhul jate hain..

Woh nazar kahan se lau jo unhe bhula de,
woh dawa kahan se lau jo dard mita de,
milna to likha hota hai takdiro me,
woh takdir kahan se lau jo unse mila de..

Khayalon ki dor se mohabbat ki patang udaane chala tha
Udaate udaate nafrat se bhi dosti karne chala tha
Phir aisa jhatka laga ke dor tooti majhdar mein
Dekha haath mein kucch toote sapne the
Patang door gagan mein udte udte dhundhla dikhne laga
Kucch badhti doori ki wajah se aur kucch aankon ki nami ki wajah se

Mere jasbaaton ki kadar hai tumhein, kyun jata rahi ho?
Shehar se ruksat hote-hote kyun ik dilaasa diye ja rahi ho?
Dinon mahinon se dil mein sulag rahi thi jo
Kyun us aag ko ko hawa diye ja rahi ho?

Purane khaton se yadon ka kohra aur ghana ho gaya
Shabdon k uss jaal se zakhm koi hara ho gaya
Badnaseebi isse badhkar kya hogi
Wo saamne raha aur mujhse juda ho gaya

Humne jinhe chaha Dewano ki tarah
;Wo Hum$e door rahe Khayalon ki tarah;
Hum bhi ho jaate Unke magar,
Unhone chaha hi nahin Chahne walon ki tarah.


Dil ki baatein bata deti hain apki aankhen ,

Dharkano ko jaga deti hain apki aankhen ,
Dil pe chalta nahi jadoo chehre ka kabhi ,
Dil ko tu deewana bana deti hain apki aankhen.


Bheeg jati hain palke tanhai me,
Darte hain koi jan na le,
Tabhi to ham chalte hain barish me,
Taki rote hue hame koi pahechan na le


Aab woh munzir na woh chahray hi nazar aatye hain
Mujh ko maloom na tha khawab bhi mit jatay hain
Janey kis hal main hum hain kay humain dekh kay sab
Ek pal kay liye ruktay hain guzar jaty hain


Khuda kisi ko kisi pe fida na kare,
Kare to qayamat tak juda na kare,
Yeh mana ki koi marta nahi judai mein,
Lekin jee bhi to nahi pata tanhai me


Dosti cheez nahi jataneki,
Hame aadat nahi kisi ko bhulane ki,
Hum isli-e milte hai kam,
Kyunki nazar lag jaati hai rishton ko zamaanev ki

Haskar woh gum ki saza deta hain,
Zeher main thoda sa pyar mila dete hain,
Jab bhi naam ata hai unke deewano ka,
Log meri taraf ungliyan utha dete hain.

Khyalon mein aata hai jab chehra uska,
to labon pe aksar faryaad aati hai,
hum bhul jaate hai uski bewafai,
jab uski be intehaa mohabbat yaad aati hai...!

Unki galiyo se jb guzre to manzr ajib tha,
dard tha magar wo dil k karib tha,
jise dhundte the hum hatho ki lakiro me,
wo kisi dusre ki kismat,kisi or ka nasib tha!

Ankhon ki zuban wo samaj nahi pate
hoth magar kuch kahe nahi pate,,,,,,
apni bebasi kis tarah kahe hum,
koi he jiske bina hum reh nahi pate!!!!

Dil Ki Dharkan Ko Dharka Gaya Koi
Merey Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,
Hum Tu Anjanay Raston Pay Chal Rahay Thay
Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Seekha Gaya Koi!!!!!!!


Dil ko araam milta hai tujhe pane se
meri saans main saans hai bas tere hi aane se
kaise tuh chod jati hai mujhe bari mehfil main tanha
kya dar lagta hai tujhe mere tere karib aane se


Dil mein tumhare pyaar ke jaltey to hain chirag
Mana ke in ki roshni tum par ayaai nahi



Khata meri yehi thi ki patthar ke naam dil kar gaya
Jo khwab mein bhi na socha tha, who kaam kar gaya
Naadan tha main, apne ishq pe bahut naaz tha mujjko
Bekhudi mein wafaa ki ummeed bewafaa se kar gaya

Zindagi Tere Naam

6 comments:

Anonymous said...

Rahul as u know that mujhe serious shayari or bewafa shayari pasand nahin hai. i only like romantic ones and dosti shayaris.

but ur effort is great u create a gud blog. I hope mostly ur frnds like it.

Thankssss
Nisha

tanu said...

HEY HI ALL
RAHUL COLLECTS VERY GUD SHAYRI I LIKE ALL THE SHAYRI'S COLLECTED BY HIMMMMMMM........

REALLY HE CREATED A GUD BLOG N I LIKE IT A LOT.....
N WOULD ONLY LIKE TO SAY KEEP IT UP N ALSO KEEP SENDING ME....
I HOPE LIKE ME ALL UR FRNDS WILL LIKE IT.....
THANXXX
TK CR
TANU

Anonymous said...

Bahut badiya yaar college ke din yaad aa gaye

zaffu said...

too good no words to adore your collection ...Thanks dear

Anonymous said...

Hi, as you may already found I'm recent here.
Hope to receive any assistance from you if I will have some quesitons.
Thanks in advance and good luck! :)

Anonymous said...

Hi, as you can see this is my first post here.
I will be glad to get some assistance at the start.
Thanks in advance and good luck! :)