Thursday, July 3, 2008

Ae khuda Yaad Tu aaya


Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya,
To jitne bal khake paani kinaron se takraya,
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya.

******************************************************************
Jab baarish ki boondo ne dharti ko chooma,
Humne zameen par bikharte sitaaro ko paya,
Jitne sitaaron ko saawan ne barsaya,
Utni Baar Ae Khuda tu Yaad aaya.
******************************************************************
Fiza ne jab gulshan mein foolo ko mehkaya,
to jitani baar mehak ko humnei apni saanson mein paya,
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya.
baadlon ke peeche se jab,suraj yun muskaya,
uski naram kirano se tune,
jab zindagi ki Lau (fire) ko jalaya,
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya.
******************************************************************
Gulshan ki raahon se jab main guzra,
to jitane khushgwaar ehsaaso ko maine kareeb paya,
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya.
Ae kaash ke tu har waqt,
Yun hi mere saatjh rahe,
Na main kuch kahun,
Tu bhi khamosh hi rahe,
Bas nazron se nazrein,
Isharon mein baatein kahe,
Aur dekh kar yun humein,

KOI aur deewana bhi yeh kahe,

KI AE KHUDA TU YAAD AAYA,AE KHUDA TU YAAD AYA…..
YAAD TU AAYA...............

who's online
who's online

No comments: