●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•
Yaar Tera Saath Jis Pal paa Liya Jisne....,
Usko toh Phoolon Ki Tarah Rahoon Ke Khaar Mile.....
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•
Arz.. Kiya Hai.......
Unki Hasrat mere dil me likhne wale,
Kash unhe meri kismat me bhi likha hota..........
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
us se pyaar karna mere eikhteyar mei toh nahi.....
par ab is pyaar ki bhanak usey hone nahi dunga!!
uski zindagi mei khushyian hon gham nahi.....
isliye ab khud ko uski zindagi mei phir se jaane nahi dunga....!!!
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
bahut talaash ki magar koi dilbar na mila
pyar se haath thamne wala rahbar na mila
ab kya talaash karun ke zindgi baaki na rahi
tanha chal diya hun koi rah-guzar na mila
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka Intizaar Hai
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
har waqt yun toh the hosh me hum par kambakth unko ye samjha na sake,
saath chalte rahe unke magar unko ye ehsaas dila na sake,
pyar toh unko bhi tha humse magar who keh na sake, aur hum samjha na sake.
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Muflison ke naseeb me andhera hota hai,
Unki zindagi me na swera hota hai,
Har iljaam lag jata hai kisi miskin pe,
Ke unki zindagi pe gurbat ka pehra hota hai.
Na koi hamdardi jatanewala hota hai,
Na koi dilo ka haal poonchnewala hota hai,
Fakht gareeb hona hi kasoor hai kisi miskin ka,
janaja bhi use khud ka Aap uthana hota hai.
Gurbat me jinewala kis kadar tang hota hai,
Jaise koi Nabina rangoo ke liye tang hota hai,
Baharein muflison ki zindagi me jald aati nahi,
Agar aajaein, to chinlenewala zamana khada hota hai.
Aah bharna bhi muflison ke liye sitam hota hai,
Koi meharbaniyon ka chalan na unke sath hota hai.
Sazaein milti hai be-khata unko,
Jaise abr ka mah me barasna hota hai…….
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Haadse kya - kya tumhari berukhi se ho gaye,
saari dunya k liye ham ajnabi se ho gaye,
kuchh tumhare gesuon ki berahmi ne kar dia,
kuchh andhere mere ghar me raoshni se ho gaye
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Mere har ek Guzarte Lamhe ki ek Pahechaan Bangayi,
Zindagi bhi ab meri Tanhaai ki Dost Bangayi,
Kaat te hai ab har ek pal Tere Yaadon ke Sahaare,
Tere Saath Beeti hue har Baat Meri Saanse Ban gayi.
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
tu jaha bhi rahe hamesha khush rahe
teri har aahat me rabb ka aashirwaad rahe
tu fikar na karna kisike ibadat ki
kyuki mere dil ki har dhadakti saansein,
dua me tera hi to naam kahe...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
intezar kar rahe the unka, jinse mulaakaat karni thi,
khoo gaye the dusri yaad mein, bhul gaye the jo baat karni thi
badi fursat se vo aye, jinse mulakaat karni thi,
itni fursat se aye ki tarik badal chuki thi,
intezar kar rahe the unka, jinse mulaakaat karni thi...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
humse khushiyo ki tamana kyu karte hai vo
ankhoon se aansuu bahate hai jo
shikva b kya kare unse, dil ijjazat nahi deta
pyar is kadar hai unse, duniya me sirf nazar aate hai vo...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
duniya ne jo kuch dia hamne sweekar kia,
di usne itni khushi ki badle mein mene apna dil dia
lekin waqt aane par pata chala ki vo ek bewafa hai,
dil jale se dil lagaane ki yahi saja hai...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
hum to unki vaja se kisi se nazar na mila sake,
vahi the vo, kiya hume itna badnaam,
bhari mehfil mein hum aansu na baha sake
kiya tha waada hamare liye duniya chod dene ka,
aur aaj kasam khate hai hume na pehchaane ka...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
“Bhoole Hai Rafta Rafta Unhe Muddaton Me Hum
Kishtiyon Me Khudkhushi Ka Maza Humse Puchiye”
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Dil dhardknay ka sabab yaad aya
Wo teri yaad thi ab yaad aya
Aaj mushkil tha sambhlna ae dost
to museebat main ajab yaad aya
din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aya
tera bhoola huwa peman-e-wafa
mer rahien gay ager ab yaad aya
phir koi log nazer se ghuzray
phir koi sheher-e-tarab yaad aya
haal-e-dil hum bhi sunatay lekin
jab wo rukhsat huwa tab yaad aya
beth ker saya-e-gul main nasir
hum buhat roye jab wo yaad aya
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Cheharaa meraa tha nigaahen us ki
Khaamoshi men bhi vo baatein us ki
Mere chehre pe ghazal likhati gai
Sher kehati hui aankhen us ki
Shokh lamhon ka pataa dene lagi
Tez hoti hui saansen us ki
Aise mausam bhi guzaare ham ne
Subah jab apni thi shaamen us ki
Dhyaan mei us ke ye aalam tha kabhi
Aankh mehtaab ki yaaden us ki
Faisala mauj-e-havaa ne likkha
Aandhiyaan meri bahaaren us ki
Nind is soch se tuuti aksar
Kis tarah katti hain raaten us ki
Duur rah kar bhi sadaa rehti hai
Mujh ko thaame hue baahein us ki
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Khwabon ki ek duniya main
Ek murat rachi thi
Nashili aakhen madhosh kardene wali
Wo katil hasi dekhi thi
Chand sa chera laherati zulfe
Wo is daard-e-dil ke dawa thi
Mohabbat main iskadar dube
Khud ko sambhalne ka hosh nahi tha
Ishq ka junoon hua sawar
Sochne samajhne ka wqth nahi tha
Unki deewangi ka aisa chadha khumar
Yeh pagalpan nahi to aur kya tha
Aakhe khuli to pata chala
Ek hasi khuwab-e-hakikat tah
Kaise kahe dun use bewafa main
Usne to dil se deedar kiya tha
Nahi main chata tute uska dil
Us dileuba se hi to maine pyaar kiya tha
Kasauti jindgi ke kahun ya anchahi baat
Mera dil bhi to bewafa nahi hai
Kor nahi sakta aab main use
Uspe aab mera koi haqu nahi hai
Aazad kiya tujhe aaj e jindgi
Ghav dil ke aab bharne wale nahi hai
Jee rahe hai teri yaadon ke sahare
Jee rahe hai un mithi baton ke sahare
wo tera man bahalana aur manana
hum jee rahe hai tere waadon ke sahare
mohabbat ki wadiyo me sanam
hum aaye hai dil se dil milane
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Tu bharosa rakh khuda par
uska ishq-e-dastoor suhana hai
Mohabbat insaan ke wajood se nahi ki jaati
Mohabbat toh ehsaaso ka fasana hai
jo bayain hota hai us tasveer ke liye
Jo us bewafa ka ek nazrana hai
woh uski badnaseebi hai ki
yeh mohabbat ka khazana jo tune use diya
woh uska nahi woh karz hai us nazni par
jise use wapas ushi sachi tasveer ko chukana hai
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Mohabbat dil pe dastak de rahi hai,
Ghamo ko ab zara awaaz dedo,
khushi ko ker do rukhsat zindagi se,
udasi ko hansi ka saaz dedo
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
dil tadap jata hai aankh baras jati hai,
jab kabhi raat gaye yaad teri aati hai,
soch ker tujhko her ek zakham hara hota hai,
hichkiyan leke meri raat guzarjati hai.
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Mere malik kyun mujhe isk de diya toone
Kyu mere dil ko ye ehsas de diya tune
Ya khuda mujhko bata pyar hua hi kyun tha
Ye kaisa gum meri kismat mein likh diya tune
Mai bhi to jee sakta tha mohabbat kiye bagair
Kyun ye dard mere dil ko de diya tune
Wo bhi zinda hain jo wafa ko jante bhi nahi
Mujhe hi kyun mizaaz -e- ashikaan diya tune
Reh - reh ke tadpata hai jo meri hadon ko
Kyun aisa khawb in aankhon ko de diya tune
Chain dhoonde se na mile na koi hal hi mile
Ye kya sawal zindgi ko de diya tune
Kitni pursukoon thi kabhi meri duniya
Ye kya babal meri jaan ko de diya tune
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Soorat -e- Zindagi lafjon mein dikhane wali
Meri her baat hai beperwah diwane wali
humsafer banke mile the humkadam banke chale
Zara si baat per kisti meri dubo daali
Daur -e- chahat mein unhein her sitam gawara tha
Ab to her baat batate hain bahane wali
Azeez doston mein bhi zaleel dusman hain
Jubaanein paak pakhte hain mager niyat kaali
musibaton mein bhi kaam aa na sake
Jinpe takiya tha unka gher khaali
Aur ab to wo bhi jamane ka adaw karte hain
Jinhone tod di her rasm jamane wali
Yoon mila mastghan wafa ka sila
fareb dil ko aur humein gaali
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
haar jeet to duniya ki reet hai, sukh dukh to sansaar ke meet hai
pyar kare to koi aapse kare hum to sirf nafrat ke liye thik hai...
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋•●๋
Rahul
No comments:
Post a Comment