palko ki chilman haya ban gayi,
aawaj ki khanak gazal ban gayi.
wo ithla ke gujarana unka hamari gali se,
unke liye ada thahri hamare to dil ki lagi ban gayi
Gair ko dard batane ki zaroorat kya hai ,
Apne jhagde mein jamane ki jaroorat kya hai.
Zindagi vaise hi bahut kam hai mohabbat ke liye,
Roothkar waqt gawane ki zaroorat kya.
Wo kahkar chale gaye itni mulaqat kafi hai,
humne kaha ruk jaao abhi raat baki hai.
aansu mere tham jayen to shauk se jana,
aise mein kahan jaaoge
abhi is dil mein barsaat kaafi hai.
teri doli uthi
mera janaza utha
tu bhi kandhon pai thi
mai bhi kandhon pai tha
charchay teray bhi thay
charchay meray bhi thay
roye meray bhi thay
roye teray bhi thay
phool tuj per bhi barsay
phool muj per bhi barsay
chadar tuj pai bhi thi
aur chadar muj pai bhi
fark sirf itna tha
tu apni dunya mai jaa rahi thi
aur mai teri dunya sai jaa raha tha
ek hasi tumhary chehre par achi lagi,
jo zindagi begani thi woh apni lagi,
kaise kare apse apna hale-dil bayan,
ab har par har lamha dur rehkar apki hi kami lagi...
Har baat par yoon rooth jaana nahin achcha
Hum ko is tarah se tadpaana nahin achcha
Hum to mana lenge tum ko hazaar baar
Mohabbat main kisi ko sataana nahin acha
Hame Apne Pyar Ka Hisaab Nahi Aata,
Unka Palat Kar Koi Jawaab Nahi Aata,
Hum To Unki Yaad Mein Sote Nahi Raat Bhar,
UnKo Sokar Bhi Hamara Khawaab Nahi Aata..
Tum khafa ho gaye toh koi khushi na rahegi,
Tere bina chirago me roshni na rahegi,
Kya kahe kya guzregi dil par,
Zinda toh rahenge par zindagi na Rahegi…
Jo Hadse Na Guzar Jaye Wo Pyar Hi Kya.
Jo Pyar Karne pe Majbur Na Karde Wo Ikrar Hi Kya.
Intezar To Sab Karte Hai Saanse Tutne Tak,
Jo Sath Na De Wo Yaar Hi Kya!!
Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai
Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai
Tumhe Yad Na Aayee
Khair Aana Meri Maut Par
Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.
Gagan se tod ke dekho sitare log laaye hain!!
Magar main wo nahin laaya jo saare log laaye hain!!!
Bhookh lage to patton pe gujara kar le!
Gair-magroor ke feike hue tukdon pe naa jaa!!!!
Mahobbat ek hakikat hey,
Ye afsana nahin hota
Kabhi apni khushi se koi
Diwana nahin hota.
Daulat na koi tajmahal chod jayenge,
Hum apni yaadgar gajal chod jaayenge,
Tum aaj jitna chahe hamari haansi urao,
Rota hua magar hum tumeh kal chod jayenge
HAATHOON KI LAKIROON MEIN
APNE HATHOON KI LAKIRON MEIN SAJA LE MUJHKO
MEIN HOON TERA TU APNA BANA LE MUJHKO
MEIN HOON KANTA TU BACH MUJH SE
MEIN HOON GAR PHOOL TU JOODE MEIN SAJA LE MUJHKO
TARKE ULFAT KI KASAM BHI KOI HOTI HAI KASAM
TU KABHI YAAD TU KAR BHOOLNE WALEY MUJHKO
KHUD KO MEIN BAANT NA DALOON DAAMAN DAAMAN
KR DIYA TUNEY GAR MERE HAWALE MUJHKO
VAADA PHIR VAADA HAI MEIN ZEHAR BHI PEE JAOONGA
SHRAT YEH HAI KOI BANHOON MEIN SAMBHALE MUJHKO
Apne gham main apni khushi main mujhe shareek samajhna
Main rahoon na rahoon par mujhe kareeb samajhna
Jab kabhi dil udaas ho , jab lab khamosh ho tere
Koi tere saath na ho , khushiyon kii koi aas na ho
Yaad karna apne dost ko jab roshni tere saath na ho
Hansi ko phir se saza doonga tere chehre par
Bas tu mujhe khudse door na samajhna
Apni tanhaiyoon main mujhko bhi mushroof samajhna
Kho jaaon jab kabhi main andheron main
Na mujhko dhoondna na phir roshniyon kii ummeed karna
JAISWAL

No comments:
Post a Comment