Thursday, January 29, 2009

Shayari



Sirf kuch der or tere sath chalna mera baki hai,
Shamshaan chod ke kuch pal ke liye kahin mat jaana,
Varna ROOH kahegi, "RUK JAA",
Abhi tere YAAR ka JALNA baaki hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Waqt Thoda hai paas mere,
Par bahut kuch abhi karna baki hai,
Wo zakhm jo apno ne diya
Use abhi bharna baki hai,

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Hum Tadapte hai unki Yaad me,
DiL rota hai unki Fariyad me,
A Khuda dikha de ek baar Surat unki,
Kahi Dum na nikal jaye unke YAAD me.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

ek janaze ko dekhkar ladki muskrayi
ekbaba bola-beti jawan maut par u muskraya nahi karte
ladki boli baba....vada kiya tha jab bhi milenge muskrayenge...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

kab kon kissi ka hota hai
sub jhoote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umar rulatey hain


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Aiy dil kee lageeeeeee challll aaj teriiii hee khushiiiiii
thamtaaaa hooon yun unn keeeee mehfil main.

waqt bewaqt mujjhey chaunkaaa denaaaaaaa
jabbb rangg pay mehfil jammm jaaayeeeeeeee.

Iss jazbaaayeeee Dil kay baarey main eik mashvaara tujjhsay letaa hoon
Uss waqt mujhey kyaaaa haaasil hai, jabbbb tujjhpay hamara dil aaa jaaye.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Inn nighaahon say tumm dooo kaheen aa jaayaa karooo
Dil koo hamarey rozz yun tadpaayaaaa naaaaa karooo

Tumm binn eik pall bhee naaaa jeee payaangey humm
Yeh ehsaas baar baar mujjhey dilaayaa naa karoo.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Doondoge mujhe kabhi jab yaad ayegi
us roz mein kisi ko kahan mil paaunga
ik raat ka musafir hun
kal sahar hote hi kahin door chalaa jaunga

tumne aaj mujhko pahachaan kar bhi
mera saath dene se inkar kar agar diya
tumhara naam lekar apni jubaan par
lab see lunga aur na kuchh kah paunga
ik raat ka musafir hun
kal sahar hote hi kahin door chalaa jaunga

mera sayaa to har pal tumhare sath hai
fir bhi tum mujhko na dekh paoge
tadpoge cheekhoge aur aansu bahaoge
chaah kar bhi mein tumko na chhoo paunga
ik raat ka musafir hun
kal sahar hote hi kahin door chalaa jaunga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

kabhi muskan ko aansu me badlte dekha,
to kabhi gulab ko kante ban dil me chubte dekha hai....

muskan aur gulab se tha wasta,par tumse door ho
dilko aansu aur kanton se judte dekha hai.....


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Pal ke bechaye bahete hain hum tumhari raah par
tum aaye ya na aaye humari aakhen hain ishi munzil par
khamoshi ke lamhe sun rahe hain tumhari aahat
tum nahi aaye..
aansu aa kar rukh gaye meri aankhon par..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Zindgi ye jaane kyon udaas ho gayee hai
har lamha ik bojh banakar rah gaya hai
har sukh dukh ke samandar me bah gaya hai
koi karega pyar yah bhi aas kho gayi hai
zindgi ye jaane kyon udaas ho gayee hai
ab to maut bhi aa jaye to koi gam nahi
gam hai to yahi ke woh bhi aati nahi
taqdeer bhi meri mujhse nirash ho gayee hai
zindgi ye jaane kyon udaas ho gayee hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Choti si galat fehmi karde gi juda hum ko
halaat itnay badal jayenge, maloom na tha hum ko
kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?
jisay chaha pal bhar mein toor diya is ko ...
jo ek lamhay ke liye bhi door na hotey thai ..
aaj le jana para unhein judai ke ghum ko ..
kabhi apne hi rastey per bichaye thai hum ne phool .
aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko...
ab to aik dard aur takleef rehti hai is dil mein ..
koi to aye ..marham lagaye is zakhm ko ..


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Phut phut kar dil roo raha hai,
Magar aansoo dikhayee nahi deta,
Aapno ke saath rehta jarur hu is duniya mein,
Magar is zahan mein koi aapna dikhayee nahi deta.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

mein jaha se hoon nehi na meri koi pehchan hai,
dosti hai aap se bas yeh hi meri shaan hai,
chhod kar muje jana nehi varna mein jee nehi pauga,
lakh dhoondo aap sa phir bhi aap sa dhoond na pauga.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Mushkil Daur mein sab sath chhod jatte hain,
Aap ne bhi chhod diya koi baat nehi,
Hum ne to chaha tha tume aur chahte rehenge,
Dil aap ne bhi todd diya koi baat nehi.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

jab bhi aayi teri yaad, jaanam sham ke baad,
kuch sanjida haalat hui, meri sham ke baad....

yun to har lamha teri yaad ka bozal gujra,
dil ko mehsoos hui teri kami, shaam ke baad.....

yun to kuch sham se pahele bhi thi yaadein teri,
ab to kuch aur badi dil ki lagi sham ke baad....

seene mein teri yaad ka, tufaan ubhar aaya hai
teri yaad mein tadap raha hoon, ye kaisa tufaan ubhar aaya hai.....

meri tadap ka soch kar, kuch aur soch na payegi tu
meri mohabbat mein saj kar, kuch aur kar na payegi tu.....

dil se niklein hain ye labz-e-azeez, teri mohabbat mein
sanwaar lena ihein dil mein, ye labz-e-azeez teri mohabbat ke....!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Toota hai dil kuch is tarah ki, jore na jur sakega ab
khai hai chot aisi ki, marham koi na rakh payega ab

dein kisi ko dosh hum, ye apni aadat nahi
kismat he apni aisii hai, kisi sey bhi gila nahi

jaante theh mil jaaye khushian, aisi apni kismat kahan
jaan kar bhe, apni he kabar mei paon rakh baithe theh hum

jaate hain tere kuche se dur, duir se dekha karenge hum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Alafaz nahi hai paas mere gum-e-ulfat kaise bayan karoon
Aap ne ki hai mujhse beeafayee ye jagzaahir kaise karoon
Humne to aap se mohabbat karke khud hai bhula diya
Tere baad haalat kaise hai meri ab ye zaahir kaise karoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Gham is khadar mila k ghabra ke pee gaye
khusi thodi mili to mila ke pee gaye
yun na the janam se peene ke aadi
Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pee gaye!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye…
Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye…
Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen…
Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye…
Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main…
Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye…
Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz…
Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye…

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Palkon Ki Nami Mei Chupakar Sapno Ko,
Humne Unhe Jane Ki Izazat De Di,
Hum Toot Kar Bikhar Gaye Tukdo Mei,
Aur Unhe Muskurane Ki Izazat De di.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

humse door hoker bhi humare pass ho tum,
humari sooni zindgi ki aas ho tum,
kaun kehta hai humse bichad gaye ho tum,
yaado ke roop meri saans ho tum,

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Itni Nafrat Thi Use Mujhse Ke.......

Apna Hath Bhi Jala Dia Meri Tasveer Jalane Ke Baad.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Bohat lateef hai tera andaz-e-ikraar sanam
Uspar Tera Mann Hi Mann Baat Karte Rehna
Tu Hamare Dard Ki Fariyad Sune Na Sune
Apna To Farz Hai Tujhe Pyar Karte Rehna


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Zindagi ji to lenge ,par zindagi sambhlegi
nasib se aiser umeed nahi,

Bin uske ji na payenge, par sang uske jiyenge
khudse aisi umeed nahi,

hum to use chahenge humesha,par wo chenge hume,
unse aisi umeed nahi.

In baaton ko wo samjhegi kaise,
jab mere dil tak usne pahunchne ki koshis kabhi ki hi nahi.........


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Pyar chupta nahi aankhen jukane se
dil rukh ta nahi kisi ke sumjhane se
hum aapko yaad karte hain jeene ke bahane se
kyu ki rukh jaati hain dharhkan apko bhul jaane se....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~ ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~ ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~

Zindagi Sitar Ho gayi,
Rimhim Malhar ho gayi,
Mujhe aata nahin kismat pe apni yakin,
Kaise mujhko mili ho tum..

rahul

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~ ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~ ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~~*~*~*~*~