Tuesday, September 30, 2008

Romantic Shayari



Aa gayi mein bin sochay samjhay,
jaanay kis mehfil mein ae sanam,
teri talash dar badar bhataka rahi,
teray liye mein bani jogan ae sanam.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kuchh doori kuchh majboori,
mai iss paar, too uss paar,
fir uspar hai too khafa khafa,
mai minnat karti hoon baar baar,
bahut ho gaya intzaar,
ab to banho me lele yaar....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dil Aayna hain hamara
jismein chehra hain sirf tumhara
doosron ko soch na paayenge
dekhne se pehle toot jaayenge

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khwaabon mein saj gayi ho tum
yaadon mein simat gayi ho tum
so bhi jaaooon agar tho kya kahoon
aankhon mein buss gayi ho tum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek mudat lagi mujhay unko ye baat smjhany me
chupaalo apni ankhoon me warna marjayenge veerany me

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

aapki mohabbat ka ehsaas abhi tak baki hai,
in aankho me tere deed ki pyaas abhi tak baki hai,
yun to meri maut me kasar nahi koi baki,
par tere aane ki ummeed me kuchh saans abhi tak baki hai.........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

hal-e-dil hamara unhone suna nahi,
na mila pyaar hamko koi gila nahi,
afsos jo dil k hamare gam baant leta,
esa sathee bhi to hamko koi mila nahi...........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

dil ki tadap ko kese lafjo me baya karoon,
teri yaad ko kese apne dil se juda karoon,
dil hi dil me tujhko apna bana liya mene,
tujh bin guzara kese mai mere meherba karoon...............

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Phir wahi purani tanhai fir vahi udaasi ka aalam,
agar wo aa jate to kuch dard hamara hota kam,
par jab sabhi ghamo me doobe hain,
to fir kon mitaye kiska gham.........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kitna samjhaya dil ko ki tu pyaar nakar,
kisi ke liye khud ko bekarar na kar ,
wo tere nahi hain are nadan are pagal,
kisi aur ki amanat kainatzaar na kar,
par kambakht manta nahi teri yaad jeeta hai,
meri baat tu chahe aitbaar kar na kar........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dekha unki aankhon mein ajeeb si kasak thi
Dil humara madhosh hua jisse aisi wo mehak thi
Keh na paaye hum unsse apne dil ki halaat
Ki wo humare jismo-jaan se rooh talak thi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

jungle me rheta hu kato
kato pe sota hu
jab teri yaad ati hai
to ji bhar ke rota hu

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Har khusi main apki baat karte,
Apki salamti ki fariyaad karte,
Is khamosh phone ko kaise bataye,
Ke hum apko hi kitna yaad karte.....................

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bhool jaaun unhen ab yeh mumkin nahin
chaahe woh bhool jaye mujhe koi baat nahin...

dil men se unhen nikalna mumkin nahin
chaahe woh mujhe dil se nikaal de koi baat nahin...

yaadon men se pal bhar ke liye nikaal pati nahin
chahe woh mujhe yaad na kare kabhi koi baat nahin...

Nahi samjha sakungi kabhi unhen dil ka haal main
chahe woh samajh ke na samajh bane koi baat nahin..

dil se chaaha unhen aur chaahti hi rahungi
chahe unke liye meri chaahat ki koi keemat nahin...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Hum Bhi Gawara Karte Hain
Yeh Tum Bhi Gawara Kar Lena
Ro Ro Ke Guzari Hai Humne
Tum Hans ke Guzara Kar Lena
Betabi Had Se Badh Jaye
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko
To Doob Ke Meri Yadoon Mein
Duniya Se Kinara Kar Lena
Jis Waqt Janaza Guzrega
Is Shaks Ka Tere Kooche Se
Jazbaat Pe Kaboo Kar Lena
Khirki Se Nazara Kar Lena

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

mein chahun bhi toh mita nahi sakta

sochun toh bhi bhula nahi sakta

jo beet gaye sang tere lamhat-e-zindagi

woh haseen ek ek pal bhula nahin sakta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Main ab khayalon me teri tasveer banaun magar kaise,
Tu hi bata, haal-e-dil tujhe sunaun magar kaise...

Jo mahal banaye the khwabon me humne,
In mahalon me wafa ke deep jalaun magar kaise...

Mohabbat, wafa, chahat sab toot chuke hain,
Ab main khud ko kisi khilone se behlaun magar kaise...

Apne aas paas jo tanhayion ke mele dekhe to khayal aaya,
Tumhari tarah main bhi bewafa banjaun magar kaise...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

In aati jati baharo ne dekha hai, hamne ek khavab sunehra dekha hai
Pal pal karte hai intzar, humne aapko hamare khawabo me dekha hai

Jate huye aapke kadmo ko hum rok na shake,
Humne khud ko aapke pichhe jate hue dekha hai

Socha kiye jab bhi tanhaye me aapke bare me,
Har pal aapko humare aas pas dekha hai

Sham ki ghataye chhati hai kai rang lekar,
In hawao me humne aapka ahsas dekha hai

Alag nahi humari jaan aur jindagi ab,
Humne har pal me shamil aapko dekha hai

Duriya bhale ho humare bichme kitni hi,
Aankhe bandh karke sabse karib aapko dekha hai

Dil ki dhadkano me bas gaye ho iskadar ki,
Najarme to ho, par har nazaro me bhi aapko dekha hai

Heran hote hai ye jankar, ki log hum me aapko dekhate hai
Khushnasib samjate hai khudko, ki khuda me bhi aapko bar bar dekha hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kya kahun mujhe wo kitna pyara hai
jaise chamakta chanda asman par jaise jilmilata taara hai
mujhe wo itna pyar hai
nidhal kar dein jab samandar ki lehren
lage mujh ko wo kinara hai
muje wo itna pyara hai
toot jati hai har ek aas
to wohi lagta akhri sahara hai
mujhe wo itna pyara hai
jab b laye koi gham meri ankh mei ansu
phir mere liye ek wohi khushi ka sahara hai
wo mujhe itna pyara hai
sari kainat se b pyar hai
apni jaan se ziyada pyara hai..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek Pal Me Ek Sadi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Bhule Hain Rafta Raft Unhe Muddaton Me Hum,
Kishton me Khud Khushi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Aagaz-E-Ashiqui Ka Mazaa Aap Jaaniye,
Anjam-E-Ashiqui Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Hasne Ka Shauq Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Woh Jaan Hi Gaye Ki Humein UnSe Pyaar Hai,
Phir bhi Aankho me pyar chupane Ka Mazaa Hum Se Poochhiye...

Toote Hue Khwabon Mein Haqiqat Dhundhta Hoon,
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundhta Hoon ...

Naadan Hoon Main, Ab Tak Yeh Bhi Nahin Samjha,
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundhta Hoon...

Mere Zajbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin,
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundhta Hoon...

Is Ajnabi Duniya Mein Koi Bhi Apna Nahin,
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundhta Hoon...

Umeed Ki Thi Pyar Ki, Bas Yehi Bhool Thi Meri,
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundhta Hoon...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

mujhe chaha hai tune is shiddat se
meri har khwaish ka khayal rakha
mujhe sar ankhau pe bithakar
meri har khushiyau ko sambhal rakha

mere dil ko apne dil se jod kar
mujhe apne dil ke qareeb rakha
mujhe apni agosh me chupa kar
mujhe khud se zyada azeez rakha


teri is wafa ka shukriya
teri har chah ka shukriya
tere pyar ke is ehsaas ka
aur is khubsurat saath ka shukriya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


charon taraf nasha hi nasha hai
lagta hai har taraf tu hi tu khada hai
muhabbat me teri hum khogaye hai
dur najane tum se hum kyu ho gaye hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

tum zindagi ki zaroorat ho meri
aabroo ho meri aur izzat ho meri

khubsurati teri you jhalakne lagi hai
tumhare liye jaa tadapne lagi hai

aarzoo ho meri tum tamanna ho meri
sada sang raho tum ye khwahish hai meri

muhabbat ko meri tum abad rakhna
meri jaa mujhe tum sadaa yaad rakhna

ye duri samajh lo hai chand lamhe
muskura ke ise ek sapna samajhna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

jaa mere e dil bahut udaas hai
pani qareeb hai, phir bhi ajab si pyaas hai
bahut baar mil chuki, phir bhi tujh se milne ki aas hai
tum kehte ho meri shayari bakwas hai
kehta hai mujhe paagal wo jo mera khaas hai
aansu mere behte hai kyuo ke dil mera hussas hai
samajh na pawoge mujh ko e mera ehsaas hai
jaa mere e dil bahut udaas hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Subah Adhkhuli palkon ko,
Bistar ki unginat salwaton ko
Soney ke kitney hi bahano ko,
Tumko talashti un nazron ko....

Kabhi Dekho na...

Dhule bheege baalon ko,
Mehendi se sajay haathon ko
Kaajal se bharey un nainon ko
Surkh resham un hothon ko..

Kabhi Dekho na...

Boltee khamoshiyon ko,
Goonjtee sargoshiyon ko
Adhuri muskurahaton ko,
Bhar aayi un aankhon ko...

Kabhi Dekho na...

Un pighaltee raaton ko,
Anginat Talluqaaton ko
Kitnee Hayazaat nazron ko
Un Bebaaq afsaanon ko...

Kabhi Dekho na...

Jaaney kitney..Khwabon ko
Dhadaktee huyi aahon ko
Tum par mit'tee saason ko
Andekhi par munasib manzilon ko...

Kabhi Dekho na...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na Salam Yaad Rakhna,
Na Payam Yaad Rakhna,
Magar Ae Haseen Logon
Mera Naam (Rahul) Yaad Rakhna.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shohrat ka nahi saudai shaayar
Daulat bhi nahi iska nishaanaa
Bus bhatkay hai dil dil ki mehfil
k mil jayay koi chehra-e-daanaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Umr apni tehzeeb ko day jaataa hai shaayar
JazboN ko neeNd say jagaa laataa hai shaayar

Safar-e-shayar kaho ya naam laylo tanhai ka
k itna dushwaar hai jeena laal-e-khudai ka

Afkaar iskay aadmi kay bhoolay huay ahsaas
JunooN iska mehw-e-neeNd main say jaagoN ki talaash

Nahi pehchaany parwaazaiN iski daur-e-zamaanaa iska
Dariya-e-haazir main hai shayar ik safinaa-e-fardaa

Tasleem-e-shaayar hai gar aadmiyat ko pa jay aadmi
Muaaf gunaah sub hoNgay gar muhabbat ko pa jay aadmi.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

log karte hai baat hoor wa pariyon ki,
dil mein bhi ek aarzoo jaagti thi,
jab se jaana hai aap ko,
lagta hai har tamanna poori hogayi!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mohabbaton me zarasi kasak zaroori hai.....
Shikayaton ke gulon ki mahek zarooree hai...
Koi sawal karoon main tumse to naaraz mat hona..
Kyon ki sachche pyar me thoda sa shak zarooree hai..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Muddat se door the hum...
Aap miley..
Aap ka milna achcha laga...
Sagar se gehree lagee aapki mohabbat...
Tairna to aata tha...
Par doobna achcha laga...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


badla zamana badle hain log to kya hua
phi se vahi sama vahi mahfil jamao yaaro
kon kahta hai ki aasma main ched nahi ho sakta
ek patthar to tabhiyat se ucchaalo yaaro

kahin dhoop kahin khaiv hai to kya hua
her jagah apni pahchaan rutba banao yaaro
her haar ke baad hai ek suhaani jeet
apni her ek haar ko uski jeet se melao yaaro

bhoolo na apni zami apne log apne watan ko
jo hai apna vo sab na kabhi bhulao yaaro
maa ,bhai, dost yaar aur pyaar anmol hain sab
sabke liye dil main ek ek jagah banao yaaro

namumkin hai kuch too vo hai namumkin soch
us soch ko dil-o-dimag se hatao yaaro
ye apni zami apna jahain apne log hain yahin
sab hai apna apne haatho se isse sajao yaaro

andheri raatoin main tu chamkega sitara banke
uss kal ke liye aaj khud ko tarasoo yaaro
kon kahta hai ki aasma main ched nahi ho sakta
ek patthar to tabhiyat se ucchaalo yaaro


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
Nigaah ko kisi soorat ki pyaas rehti hai
Tere bina zindagi mein kami toh nahi
Phir bhi tere bina zindagi udaas rehti hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
Tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
Aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
Inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye..
Aag aise lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain hum unhe yaad karke...
Jise hamari yaad kabhi na aaye...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Duao ki bheed mein ek dua hamari
Jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
Jab bhi aap muskuraaye dil se
Samjho dua kabool hui hamari

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana saku
Dard-e-dil ka haal suna saku
Tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
Mauka mila hi nahi ki main dil ki baat tumhe bata saku

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
Lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte

Hume hasne-hasane ki aadat hai, nazron se nazar milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili, jinhe nazar zhukake sharmane ki aadat hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho??

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe sms karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere sms ka intezar karenge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab dosti ki dastan waqt sunayega,
Tumko bhi koi shaks yaad ayega,
Tab bhool jayenge zindgi ke gam ko,
Jab apke sath guzara samay yaad ayega.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wafa ruswa nahi karna
Suno! Aisa nahi karna
Main pehlay hi akela hon
Mujhe tanha nahi karna
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dil ka rishta hai hamara
Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad main hai chehra tumhara
Hum saath nahi to kya hua
Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zindagi Tere Naam

Thursday, September 11, 2008

Maa.....



Maaaaa mujhe sab yaad aa raha hai....

mujhe yaad aa raha hai.....

jab main tumhare pet me tha tabse tum mere se baat karti ho
meri sabse pehli dost mere sapno ki hasrat tum hi ho
maa tum tab kitne pyaar se apne armaan sajati thi
mujhse kitni ummeeden hain tum mujhe batati thi
tum kabhi kabhi udaas hoke bhi mujhse baat karti thi
tu mujhe na rulana beta ye bhi mujhse kahti thi
tum mujhe kabhi raaj-dulara kabhi mera lal kabhi chiraag kahti thi
maa sach kahta hun bus is baat se ab bhi mujhme jaan rahti hai


phir mere bachpane me maine hamesha tumko hi paya
jab zara si chot lagi mujhe maine khud ko teri god me paaya
jab koi nahi tha mere saath mere bachpaan me kuchh na tha khaas
tune har taraf ujaala failaya tu hi mujhe nazar aati rahi aas-paas
vo khel bachpan ke jo tum mere saath pyaar se khela karti thi
maa tere hone se hi baagon me khushiyun ki kali khila karti thi

tune mujhe kabhi majbooran apne sapne nahi bataye maa
main saye me teri vo palkon me meri khud hi palte aaye maa

tere sapno ke alava bhi mera ek hi sapna tha
mujhe tera har sapna har keemat pe poora karna tha

phir bade hone par maine jab jab hausle kum paaye
maine aapke sirf aapke hi umeedon bhare haath paaye
tera pyaar se mujhe kahna ki fikr na karo
chalte raho manzilon se bhi aage badho
sabko apna samjho sabse pyaar se raho
teri vajah se haari baazi bhi hum jeet.te rahe
jo kabhi nakaam bhi rahe to use phir jeet.ke hi rahe
maa ek tu hi thi jise humne khud se pehle saath paya
tum hi to thi meri zindagi ka pehla aur aakhiri sahara

mujhe jab jab gardishon ke halaat mile
mujhe thaamne hamesha tere haath mile

ye kaisa pyaar ma ki tune mujhe na batake hamesha sirf aage badhaya
chhota sa sapna bhi tera poora kia tune use bada batake kitna sukoon paya


phir jane kaise din kaale hone lage
hamare chahne hamare dushman hone lage
tune mujhe tab bhi kisi ke khilaaf na bhadkaya
hamesh insaaniyat ko hi sabse bada mazhab bataya

jitni mujsibaten badhtin thi tu mujhpe utna hi yaqeen dikhati thi
tere hone se saari mushkilen bahut aasaan jane kaise ho jaati thi

phir jab meri zindagi me gham'e'mohabbat'e'daur aaya
humne magar vo dard jaan pe khelke tujhse chhupaya
maine socha tha kuchh roz me kisi tarah ye theek ho jaega
rahunga door sabse to ye daur'e'vaqt bhi beet jaega

nahi jaante the ye gham ka badal badhte jaega
ye tezaab ki barishon ka silsila ab na ruk paega

maa tum kitni achhi ho main tumhe bata na saka
tumahare aasuon ka dia bhi magar bujha na saka
maa mujhe abhi bahut se kaam karne the
abhi to aapko naye sapne bhi dekhne the

socha tha jaldi laut aayunga
na malum tha yahi.n dafnaya jayunga
maa main jaldi aapse milne ke liye chalta gaya
mujhe nahi malum tha ki gham aage aage chalta gaya

maa main tujhe mar kar bhi apni udaasiyaan bata nahi sakta
tune kya kya na saha mere liye main bhula nahi sakta
maa mujhe malum hai tu mujhe dekhke bhi dilasa degi
zindagi phir hari bhari hogi yehi baat kahegi
par andar hi andar mera dard sahegi
roegi bahut aur aasun bhi na nikalne degi
jab teri nazren mujhe adhiktar paresha.n haal dekhen.gi
na sah sakunga jab teri ummeeden tere saamne hi tooten.gi

maa maine kabhi aapko mujhe haarte dekhne ka mauka na dia
sah lunga aage bhi khudaya jo bhi dard mujhe mila
main kaise kah dun tera sooraj doob gaya
tere sapno ka taaj mere haathon se chhoot gaya

maa mujhe maaf kar de mujhe maaf kar de
ye dard ab saha nahi jata tu mujhe jaane de
maa main jaa to raha hun par ye yaad rakhna
main vapis aayunga meri raah takna
khuda se yehi maangata hun mujhe chahe jaisi zindagi mile
harzindagi me mujhe meri maa tu hi mile tu hi mile
maa phir us janam me main aapko sirf khushi aur unke saaye doonga
tere paas se jaane ka bhoole se bhi naam na liya karunga
tera har sapna poora karunga
teri ummeedon pe khara utrunga

par is tarah yun roz mar mar ke jeena ab nahi banta
mujhe sabab'e'intzaar jo maloom hota na raasta banta

khuda ke vaaste hata le apne duaaon ke haath
teri duaaen bhi kyun ruswa hon jab koi nahi mere paas
mujhe ghamon ki gahri jheel me jaana hai
jahan meri tadap ko aaraam mil jana hai

maa main mayusiyun ko marte vaqt bhi tum tak na pahunchne dunga
tumhare aakhon ka noor hun khudko marke bhi na mitna dunga
maa maine kabhi bhi tere usoolon ka zahan se hatne na diya
maa tujhpe koi ungli uthhaye maine aisa koi kaam na kiya
jab tak jiya apni khuddaari ko na girne diya
tune sikhaya tha humne girne vaalon ko sahara diya


kaise kah dun maa mujhe jaana hai
bahut mushkil ab dard ko sah paana hai

is halat me main khudko tere saamne kabhi la nahi sakta
tune kitne jatan se pala mujhe apne zakhm dikha nahi sakta


maa bus yahi kahna chahta tha mujhe bhool jana tum
ho sake to mere phir se aane ke lie khushi manana tum
maa tumhe kasam hai bhoole se na aasun bahana tum
mere jaane ki khabar mere liye khud se chhupana tum
main hara nahi hun maa bus aane ke lie ja raha hun
bahut thak chuka hun maa zara sone ja raha hun


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


* Rahul *

who's online
who's online

Wednesday, September 10, 2008

Shayari Dil se.......


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mila woh bhi nahin karte,
Mila hum bhi nahin karte,
Wafa wo bhi nahi karte,
Wafa hum bhi nahi karte,
Unhe ruswai ka Dukh,
Hume Tanhai ka Dukh,
Gila woh bhi nahin karte,
Shikwah hum bhi nahi karte,
Kisi modh par Takraav ho jaata hai Aksar,
Ruka wo bhi nahin karte,
thehra hum bhi nahin karte,
Jab bhi dekhte hain unhe,
Sochte hain kuch kahein unse,
Suna woh bhi nahi karte,
kaha hum bhi nahin karte,
Lekin ye sach hai ke Mohabbat unhe bhi hai,
Mohabbat hume bhi hai,
Izhaar woh bhi nahi karte,
Ikraar Hum bhi nahin karte...



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mere khuda zara sa noor in aakhon me aur bhar de
ya to use dost bana de ya mujhe ishq na karne de..

mere khuda main to tera banaya ek maamuli insaan hun
kufr mujhe bhi kheenchata main nahi mahaan hun
mere ehsaaso ko meri nazar'e'sharafat se na girne de
ki lage unhe ek din main nihayat hi be-imaan hun

unki nazron me mere guroor ko belazzat hone se bacha le

ya to use dost bana de ya mujhe ishq na karne de..


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Lafz girne naa paaye zameen par dekhna
raasto'n me ahl-e-zamaa'n ruk jaayega

shouq hai tumhe dard ki mehfil sajaane ka
meri rooh se guzroge tumhe dard mil jaayega

unhe ab ke laaya jaaye mehfill me "kaash"
jo toot chuka hai ab ki bikhar jaayega

badi "naaz" se unke bhi sitam sahe humne
kaun hum saa saabir kehlaaya jaayega



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*


Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khuda se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*


Tu na de saath ke chalna hume bhi aata hai
Waqif-e shola hain, jalna hume bhi aata hai

Tune chhoda tha hamen raah mein chalte chalte
Dekh le sehra mein dhalna hume.n bhi aata hai

Ho gaye berso.n in ankhon ki chubhan jati nahin
Ashk baarish mein badalna hume.n bhi aata hai

Zakhm kha kha ke bhi mahfooz hai hasti meri
Ishq mein gir ke sanbhalna hame.n bhi aata hai

Nahin hai paas wo, par mera hausla dekho
Kisi ke khwaab mein dhalna hame.n bhi aata hai

Jala jala ke jigar surkhuroo hue hain ab
Sholon mein rang badalna hame.n bhi aata hai

Mere kalaam Ana shokh nahin hain to kya
Ghazal mein dard ugalna hame.n bhi aata hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Apni Baahon main un ko chupayen ge Ek Din...

Labon se DIL ki piyas Bujhayen ge Ek Din...

Na guzray Fiza bhi apne beech se...

Kuch is tarhAn Un ko Seenay se Lagayen ge Ek DiN...

Ban ke Parwana jale Hum bhi...

Shamma bana ke Un ko pighLayen ge Ek Din...

RuLata hai Woh har baat pe Hamen...

Kisi baat pe Hum bhi Un ko Rulayen ge Ek Din...

Tarasta hon Main Usay Choonay ke Liye...

Aa ke Paas Hum bhi Tarsayen ge Ek Din...

Kar ke YAAD Un ko Marte hain har pal...

Kia Mar kar bhi Un ko YaaD aayen ge Ek Din...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Khule dil se milo to saza dete hai log,
Jazbaat_e_ishq bhi thukra dete hai log.
Kya dekhenge is janhaa mein dilo ke milan ko,
Yahaan to baithe huye do parinde bhi uda dete hai log........


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*


Waise toh ek mehfil hai zindagi,
yahaan har ghadi ka mela hai...

saath toh hai lakhon musafir karawaan mein,
phir bhi yeh dil akela hai....?

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Ek naya mausam aaj phir aaya hai
Aaj phir kisi ne aankhon se ashk bahaaya hai
Chhup gaye aansoo aaj phir baarish mein
Dil mein phir gham ka sailaab aaya hai
Chhupaaye chal diye hum toh baarish mein
Koi hamein kabhi kya samajh paaya hai
Aansoo ban kar aayi yaad jo teri
Ussi yaad ne hamein hansaaya hai
Bas kaash agar saath hote tum
Toh mausam yeh bhi sau rang laaya hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Silsila wafaaoN ka ik naya hi chalaaya meiN ney
na usey yaad rakha na hi bhulaaya meiN ney
haNsi utaar kar chehrey sey pheyNk di lekin
firaq-e-yaar meiN koi ashq nahi bahaaya meiN ney

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

USNE BULAYA MEHFIL MEIN JALANE KE LIYE,
HUM BHI CHAL DIYE USKI MEHFIL SAJANE KE LIYE,
JO KARTI THI MERI SURAT SE BHI NAFRAT ,
MERI MAYYAT MEIN AAYE HAIN WO AANSU BAHANE KE LIYE.........

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zindgi guzar jayegi ahista-ahista ,
fir ye waqt dag-magayega ahista-ahista ,
aap bhi mujhe yad rakhoge kuch din ,
fir meri bhi yaadain mit jayegi ahista ahista

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Wo ja to rahe hai muskura ke ,dard hota hai dil me,
aap ko dikhta hai ki mai khush hu, par ye dil rota hai akele me,
Kash meri zindgi me koi sapna sach hota,
kash meri zindgi me koi apna hota,
Kash meri jindgi me yaaro,
ye kash hi na hota,
khuaab ek lekin mushkile hazar hai,
tanhaai aur gum to mere jeevan bhar ke yar hai,
Ab to ye dil maut ke liye bhi taiyar hai,
kyunki is jeevan me hame sirf ek bewafa se pyar hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Itna dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain,
hosh gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain,
maine to tumhare siwa duniya bhi nahi dekhi,
aaj bhari duniyan mein tanha nazar aa rahe hain........................

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Dekhte hain aaj hum us raah ki viraaniyan,
yaaron ke sang jahan beeti thi kahaniyan,
guzra vo daur, bichad gaye sab dost,
Saath reh gayi to bas un lamho ki nishaniyan.....

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Jab bhi tum pukaroge, hum daude chale aaenge.,
kafan me lipte chita se uth ke chale aaenge.,
agar jal gaye to koi gum nhi JAAN,
rakh banke hum udte chale aaenge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Baarish ki bunde deewana banaye,
tan ko bhigoye mann ki aag bhadkaye,
aaj jai sajan dur humare waqt ki baat hai,
par dil ko hum kaise samjhaye.

Labon par aye woh naam ho tera,
bheju jo woh paigaam ho tera,
aankhein jo dekhe woh khawab ho tera,
dhadkan kare jiska intezar woh intezar ho tera.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe ji dhundti rahe meri nazar.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~*~*~*

Rahul Jais

who's online
who's online