Sunday, June 15, 2008

Lambi Judaai...


**************************************************************

Sheeshey ki Umar Pyaale ki aakhir bisaat kya....

Toota Jo Dil kisi ka Toh Hairat ki baat kya....


**************************************************************



Yeh shikayat nahi mere dil ki baat hai,
jise bhool jana hai woh tujhe kyun yaad hai,

tere jism ki chahat kisne ki hai,
itna kafi hai ki teri rooh mere paas hai,

ibaddat banane se pehle hi mohabbat kahin kho si jaati hai,
ishq ke is duniya mein kitne bebaas halat hai,

rooh meri pak ban gayi hai tere pyar mein,
is jism ki ab kya aukaad hai,

jo rulata hai mere dil ko dard deke,
kya batoon tujhe khuda kitna masoom woh insaan hai,

haath khali hai mere chahe toh chu kar dekh le,
kehti hai lakeerein humme chupa koi toofan hai,

thak chuki hoon ishq ke dard se,
jabki janati hoon abhi dard hona jawan hai,

chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,
yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,
teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dard diya usne, dawaa woh ne de gayi,
Pyaar to kiya tha usne, per khata aab kyon ho gayi,
Nazdik to tha tere main, anjaan yu tu ho gayi,
Ruksat hui per kuch na boli, behaya itni tu ho gayi,

Dundha tuje sansaar main, gum kaha tu ho gayi,
Jaagu raat bhar main yahaan, chupchap tu kahaan so gayi,
Dil tut chuka aab, teri pukar kahaan kho gayi,
Zinda hu ab kahaan, maare muje saddiya ho gayi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bin tere ji ghabrata hai bahut
O mere bichre sathi tu yaad aata hai bahut,
Der tak jaag kar andhere main ghoora karta hoon,
yad banke aata hai, Satata hai bahut.

Is bechaini is dard ka ilaz hai to bata,
Suna hai ye jaan leke jata hai bahut,
Aawara hokar galiyo main tujhe dhudhta hoon,

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi hoti thi tanhaiyo mei bhi mere hoton par hasi
Aaj Mehfilo mei bhi mujhe dard-e-dil hua karta hai,
Mere jeene ki aarzoo karte the mere dushman bhi kabhi
Aaj mera hamdard bhi meri ruksati ki dua karta hai.......

Samajhta the khud ko khush-naseeb, jise mere dil mein panah milti thi
Aaj ashq bhi meri aankho mei khud ko anaath samajhta hai,
Khoobsurat hota tha har wo kalaam jo main kalam se likti thi
Aaj lahoo se likha "Ehsaas" bhi khud ko alfaaaz samjhta hai.......

Kabhi jeeta tha mera qatil bhi, meri aashiqui ki umeed mein
Aaj mera dil bhi meri zindagi ke liye kaha dhadakta hai,
Kya hoti hai bewafaai, ye to kabhi maloom na tha
Aaj zarra zarra mera, mohabbat ke liye tadapta hai.......

Itna roshan tha dil mera mujhe suraj ki bhi Zaroorat na thi
Aaj Andheri galiyon mein "Ehsaas", roshni ke liye bhatakta hai,
Kabhi dikti thi apni parchayi, amawas ki kali raat mein bhi mujhe
Aaj mera hi Saya, mujhe Ujaalo tak mein nahin dikhta hai........

Socha tha, hogi Maut meri kisi anjaane Dushman ke haath se
Aaj rehnuma bhi mera, mere qatal ka shauk rakhta hai,
Mera to dil rota tha dushmano ki bhi majaar par
Aaj har bawafa dost mera meri hi chita pe aag rakhta hai........

Kabhi tapte registan ki dhool mein bhi main gehri neend soti thi
Aaj mera Aashiyana bhi mujhe sukoon se sone nahin deta hai,
Tera pyar hi meri jaanat tha Sanam, par ab tu khud jannat mein hai
Rona chahti hoon ,par tere dard ka "Ehsaas" rone bhi nahin deta hai .........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaj main door hoon sabse
Par sabki yaadon k saath hoon
Bhula chukka hoon main khud ko
Par apne saaye k saath hoon
Jab main tanha tha bhari mehfil main
koi kehne na aaya main tere sath hoon
Aaj jab dukha hai dil tumhara
To phir se fariyaad karte ho
Kya main bas tumhaare
Zakhmo ka ilaaj hoon
Haqeekat main na sahi tum mere
Khwabon main mere saath ho.........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Toote hue khawabon mein haqiqat dhundta hoon,
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon.
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha,
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon.
Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin,
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon.
Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin,
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon.
Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri,
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Khuaab ek lekin mushkile hazar hai,tanhaee aur gum to mere jeevan bhar ke yaar hai,
Ab to ye dil maut ke liye bhi taiyar hai,kyunki is jeevan me hame sirf ek bewafa se pyar hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tere Naam
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

who's online
who's online





Tuesday, June 10, 2008

A Friend Contribution



Hausle Zindagi Ke Dekhte hai..
Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai...
Baarishonse to Pyas buzhtee nahin...
Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain....


Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain..
Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai..
Kisise Pyar Kar per ZYada bhi mat kar Aye Dost..
Kyoun ke Jab Dil tutt ta Hai to Badi Taqleef hoti hain.shayari.


Tamaam Umr Bhatakte Rahe Gulistanon me.,.
Kisee ek bhi Phool me Wafa ki Mehek na milee..
Hawas ke Naam Pe to Muh khul Gaye Khazanon ke.
Wafa Ke Naam pe Maanga to Bheek Tak Nahin Milee..


Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunaye ki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the.


Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya .


Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe
hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe
aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun
aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe.


Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin
aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin
kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein
har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin.

********************************************************

uska shukriya kuch is tarah ada karun,
wo kare bewafai main sada wafa karun
mohabat ne bus itna sikhaya mujhe
khud mar jaun par uske liye dua karun......


khwaab dekhte hue ye dil thak chukaa hai
mera har khwaab pathar sa ho chuka hai
sheesha hota toh tutne ka gum na hota
ye toh patha hokar bhi toot chuka hai


mukadar se lad sakun ye meri aukat nahi
main wo shaks hun khuda jiske saath nahi
waqt aayega toh keh denge khuda sa
mera mukkadar likhna tere bas ki baat nahi.....


humein bhi dosti nibhane ka khayal aaya,
jab bhi ye khayal aaya khud ko akele paya
dhundhte rahe is dunia mein ek pyara dost
kisi ko dhokebaaz aur kisi ko bewafa paya.......


meri hatheli apni hatheli par rakh lena
jab dua karo use bhi utha lena
agar khushi toh aapne haath aage kar lena
aur gum mile toh meri hatheli par thama dena......


********************************************************

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..

Ae dil, tu mohabbat karta kyun hai..?
jo karta hai to phir tadapta kyun hai..?

Main dhadkan hun uske dil ki,kehta tha mujhse,
phir aaj uska dil mere bina dhadakta kyun hai...??


********************************************************

Jidhar bhi dekhta hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai

asar karta yakeenan gar chhoo jaata unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai...


********************************************************

Socha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raaat din tere siwa kuch bhi nahi
soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis per hamari ankh nai mooti bhichaye raat bhar
bheja wohi khaghaz usai hum nai likha kuch bhi nahi
ik shaaam kai saye talay bhetai rahay woh dair tak
ankhoo sai ki baat boohat moun sai kaha kuch bhi nahi
ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jab aag per khaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi


********************************************************

Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya...
Mein Ne Kaha Husn Bhi Tum Se Mukar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Tujh Ko Deelani Hein Choriyaan...
Mein Ne Kaha Ke Aab Woh Zamana Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Howi Kajal Ki Dhaar Si...
Mein Ne Kaha Ke Aankh Se Darya Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Yeh Teri Chiryoon* Se Dosti...
Mein Ne Kaha Ke Dil Mera Duniya Se Bhar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Mila Sab Se Big'aar Ke...
Mein Ne Kaha Ke Waqt To Aacha Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Khwab Mein Aane Ka Waqt Do...
Mein Ne Kaha Ke Neend Ka Mosaam Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Tere Suraj Ka Kya Bana...
Mein Ne Kaha Ke Woh Mere Dil Mein Utar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Nahi Dega Tumhara Saath...
Mein Ne Kaha Ke Woh Chalo Wada To Kar Gaya...

Akhir Ko Tang Aake Kahi Us Ne Itni Baat "FAHAD"
Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya



THANKS TO YOU FOR THE CONTRIBUTION
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


who's online
who's online




Kuch Dil Se.....


Ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sukoon tha
jo zindagi ka junoon tha

us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha

us raaz mein ek khushbo thi
jo meri sooch ki justuju thi
us justuju mein ek hararat thi
jo meri khushiyoun ki sharat thi

us shahrat mein mein ek ehsaas tha
ki tu jo mere pass tha
us pass mein jo ek araam tha
woh bus sirf ek tera naam tha

*******************************************

Dil ke khali samandar ko baarish ka intezaar hai,
dil ki in suni raahon ko ek musafir ka intezaar hai
hum wafa kar ke bhi na pa sake unko,
humare dil ko uske pyaar ka intezaar hai ... .......

*******************************************

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

Aik dusre ko magar phir bhi yaad ayenge.

Dhoonda karengi baharein hume gulshan mein ja ja kar.

Udaas si ho jayen gi hume wahan na pa kar.

Ab mausami bahar ko hum ghar main hi manayenge.

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

Dil tumhe pukare ga dhoonde gi nazar hamari.

Har ek lamha hum ko aye gi yaad tumhari.

Tanhaiyon main beth kar hum phir dil ko yeh samjhayen gey.

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

Reh lenge hum bhi is dunya main kahin bas kar.

Sabab aasuooyon ka taal denge sab ko hans kar.

Tere bagair bhi ab mere din guzar jayenge.

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

Tum na honge to mere ye geet kon sunega.

Honthon par mere lafzon ka jaal kon bunae ga.

Hal-e- dil hum apna phir kis ko sunayenge.

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

Ab jo hum mile toh woh jazbaat toh na hongey.

Pehli mohabbat ke woh ehsaas toh na hongey.

Ab jo hum mile bhi toh kya payenge.

Ab hum juda ho kar sayad mil na payenge

*******************************************

Barson ki chahat ko ek pal main badalte dekha hai maine
Toot kar chahne walon ko baat se mukarate dekha hai maine,

Naaz karte the jo apni wafaoun pe
Unhi ko bewafai karte dekha hai maine,

Kaise sajja loon sapna apni udaas aankhon main
Har khuwaab ko toot kar bikharte dekha hai maine,

Karte the jo wada hamesha sath chalne ka
Phir unhi ko raasta badalte dekha hai maine,

Aitbaar na raha hai kissi par bhi kiya karein
Is aitbaar ko bhi baar baar marte dekha hai maine.


who's online
who's online
*******************************************